Is dunya mei Allah ne koi cheez baikar nahi paida ki, balke jo kuch is ne banaya hai kisi na kisi maqsad ke liye banaya hai.

Similar documents
Yeh sirf is liye hai ki jungle mein kisi qayda aur qanoon ke baghair darakht ugte hain, aur baagh mein qayde se lagaye jate hain.

Insurance Awareness Program. 2 nd Quarter FY Report. SBI Life Insurance Company Limited

Language Negotiation In a Multilingual Mathematics Classroom: An Analysis

Personality Profile of Individual Having Mental Health Problems (V): A Rorschach Investigation

Exploring Dormancy in No Frills Saving Accounts in Rajasthan

More Than 100 Famous Indian Song Notations 200 Pages. Produced By

Horoscope In Your Hand

1.- L a m e j o r o p c ió n e s c l o na r e l d i s co ( s e e x p li c a r á d es p u é s ).


THE HINDU MARRIAGE ACT

The Language of TV Commercials Slogans: A Semantic Analysis

1. Oblast rozvoj spolků a SU UK 1.1. Zvyšování kvalifikace Školení Zapojení do projektů Poradenství 1.2. Financování

Song No. Song Name Language Singer Movie Aa Aa Bhi Ja Hindi Lata Mangeshkar Tesri Kasam

INDIAN TELEVISION COMMERCIALS REINFORCING TRADITIONAL GENDER IMAGES AND ROLES

Developing creative writing skills in early childhood: A case study from Pakistan

Solar-DC and Electric Vehicles An Opportunity for India. Ashok Jhunjhunwala, IITM

Opis przedmiotu zamówienia - zakres czynności Usługi sprzątania obiektów Gdyńskiego Centrum Sportu

The Colour of My Heart: On Reading Faiz By Aamer Hussein

Put the human back in Human Resources.

A long time ago there was a group of people who worshipped idols. Then Allah sent PROPHET NUH to guide these people to the right path.

Tariff Applicable Details of the services offered through such Voice

FINAL REPORT. Synopsis

Mitel 5000 Communications Platform

M.A.S. Tang Soo Do. Belt Test Requirements Rev. 1.1

S e w i n g m a c h i n e s for but t - seams. - c o m p l e t e b r o c h u r e -

Online Department Stores. What are we searching for?

Published by Deutsche Gesellschaft für Internationale Zusammenarbeit (GIZ) GmbH GIZ NABARD Rural Financial Institutions Programme

29 th April Al Qaadir, Al Qadeer & Al Muqtadeer The All Able, the Omnipotent, the Dominant Sister Eman al Obaid

Improving Text Entry Performance for Spanish-Speaking Non-Expert and Impaired Users


Rights of Beneficiaries In Family Takaful (Islamic Life Insurance): A Global Context

FA 4 Portion Grade 2 ( )

Như ng kiê n thư c câ n biê t vê giâ y phe p cư tru điê n tư (eat)

SCO TT G LEA SO N D EM O Z G EB R E-

Campus Sustainability Assessment and Related Literature


Recruitment and Promotion Section, Registrar Office Jamia Millia Islamia, New Delhi Written Test for the post of Date Entry Operator

Dhoon - 1. Bhaj man Swaminarayan

How to perform Salaah (Prayer)

BEFORE JUSTICE (Retd.) MAHMOOD ALI KHAN SOLE ARBITRATOR. A.M. No. D-061 of 2011

Shafi Duas Of. Salaah. Dua is the core of worship Hadeeth Shareef DUAS BEFORE WUDHU. 1) Read: 2) Then: 3) Then read this dua:

JCUT-3030/6090/1212/1218/1325/1530

Beats365: Beats by Jamie Lewis Hip Hop & Rap Beats Download Rap & Hip Hop Instrumentals, Sound Effects > Check Here <

Sustainable Hi-tech in the Developing World

Bathing after Intercourse

BLADE 12th Generation. Rafał Olszewski. Łukasz Matras


How To Rate Plan On A Credit Card With A Credit Union

The Derivative of a Constant is Zero

C + + a G iriş 2. K o n tro l y a p ıla rı if/e ls e b re a k co n tin u e g o to sw itc h D ö n g ü le r w h ile d o -w h ile fo r

Inheritance in Islam

2. All those things that make the Wudhoo Batil, E.g. sleeping, passing wind, etc.

Surety Bond Requirements for Mortgage Brokers and Mortgage Bankers As of July 15, 2011

B A B I V H A S I L P E N E L I T I A N D A N P E M B A H A S A N

Tamil Indic Input 2 User Guide

8698 Van hati e 1 2, p er us kor jaus ja muut os pδivδkot itiloiksi. Ur akkat ar jousten avauspφyt δkir ja

E-learning and Student Mobility in Higher Education. BEST Symposium on Education, Gothenburg 2 nd June 10 th June; 2007

MITEL. Administrator Endpoint Guide

LIST OF CONTRACTORS. S No. NAME OF CONTRACTORS Class Address 1. M/S Zahir Khan & Brothers C A. (No Limit) C A

I n la n d N a v ig a t io n a co n t r ib u t io n t o eco n o m y su st a i n a b i l i t y

P R O C E S S O L I C I T A T Ó R I O n º / E D I T A L D E P R E G Ã O P R E S E N C I A L n º. 0010/


NEW PRODUCT DEVELOPMENT: STRATEGY & IMPLEMENTATION MECHANISM BASED ON PRIMARY & SECONDARY DATA RESEARCH

Zakat. "Worshipping Allah azwj " is believing in Touheed. "Sincere devotion" And "being true in faith" 12 is the confession of the.

Ameriprise INSURED MONEY MARKET (AIMMA) BANK LIST: The bank list below is effective as of August 22, 2016

B A S I C S C I E N C E S

U S B Pay m e n t P r o c e s s i n g TM

CanSecure User guidelines

An Nawawi s Forty Hadith


Cause Related Marketing A Qualitative Exploration of TATA Brand

Unit 12: What's the Weather Like Here?


III Bienal de Autismo Página 1 / 43

Lesson 1: Hiragana. The syllabaries

Weekend Islamic Children School Curriculum

bow bandage candle buildings bulb coins barn cap corn

Inheritance. Woman and her Rights

The Marrecus Line INSTITUTE OF TECHNOLOGY & SCIENCE MOHAN NAGAR GHAZIABAD. Visit for more info.

Reading the Holy Quran: The right and proper way versus ritual use


Qabeelat Wasat DETOX: Fiqh of Fasting & Zakat Professional Notes

R e t r o f i t o f t C i r u n i s g e C o n t r o l

Imam An-Nawawee s 40 Hadith Session 1 Introduction and Hadith # 1. The Muslim Community Center, Silver Spring, MD


V e r d e s I s t v á n a l e z r e d e s V Á L T O Z Á S O K. F E L A D A T O K. GONDOK A S O R K A TO N A I

THE BEAUTY OF CHARITY By Ahmed Al-Ali, Kuwait

Life Settlements Source List

Bism Allah al-rahman al-rahim Nahmuduhu wa nisalli ala rasulihi al-karim

Shia Namaz. Instructions Recitation and Meaning

Denesu łıne Honıe. PAGC Education: Language & Culture. If the very old will remember, the very young will listen. ~ Chief Dan George

Islamic Copywork An-Nawawi s Forty Hadith Part 2

Empire Blue Cross Empire HMO 2250, Silver CSR 2, NS, INN, Pediatric Dental, Dep 25 Summary of Benefits and Coverage:

Imam Mohammad Ibn Saud Islamic University College of Computer and Information Sciences Department of Computer Sciences

HARMONIZATION OF BUSINESS ZAKAT AND TAXATION IN MALAYSIA

YEMİNLİ MALİ MÜŞAVİRLERİN TASDİK EDECEKLERİ BELGELER, TASDİK KONULARI, TASDİKE İLİŞKİN USUL VE ESASLAR HAKKINDA YÖNETMELİK

ADVERTISING AGENCY BRIEF

Preapproval Inspections for Manufacturing. Christy Foreman Deputy Director Division of Enforcement B Office of Compliance/CDRH

Table 12: Availability Of Workers Compensation Insurance Through Homeowner s Insurance By Jurisdiction

Transcription:

Aqaid Chapter 1 HUM KYUN PAIDA HUWAY? Is dunya mei Allah ne koi cheez baikar nahi paida ki, balke jo kuch is ne banaya hai kisi na kisi maqsad ke liye banaya hai. Suraj roshni deta hai. Chaand raton ke andhere mei ujala bakhshta hai. Badal pani barsata hai. Pani se kheti hari bhari hoti hai Janwar insaanon ke bohot se kaam karta hai. Sawari, kheti, seenchai, waghaira mei janwaron se kaam liya jata hai. Insaan bhi baikar nahi paida huwa hai, balke Allah ki ibadat ke liye paida huwa hai. Allah ne is dunya ki har cheez insaan ke liye paida ki aur insaan ko apni ibadat ke liye paida kiya. Is dunya mei tum ko ye usool nazar aye ga ke har makhlooq apne se buland ke liye paida ki gaee hai. Ghaas is liye paida huwi hai ke ise janwar khaey. Janwar is liye paida huwa hai ke wo insaan ke kaam aye. Insaan se buland sirf khuda hai lehaza insaan khuda ke ehkam maanne aur iski ibadat karne ke liye paida huwa hai. Imam Hasan Askari alayhis salaam aik din bachpan mei bachchon ke saath khare the sab bachche khel kood rahe the. Imam khelne ke bajae ro rahe the. Udhar se aik buzurg ka guzar huwa, jo bohot aqalmand aur deendar aadmi the. Imam ko rota dekh kar ruk gae aur roney ka sabab poochney lagey. Tasalli dete huwe unhon ne kaha, Main tumhare liye bazaar se khiloney kharid key lata hoon. Hazrat ne kaha, Hum khelne ke liye paida nahi huwe. Unhon ne sawal kiya, Phir kis liye paida kiye gaey hain Hazrat ne farmaya, Hum ko Allah ne ilm haasil karne aur ibadat karne ke liye paida kiya hai. Aur Imam ne unko Quran Majeed ki ayat bhi sunaee. Jis me khuda ne kaha hai ke hum ne insaan ko baikar nahi paida kiya hai. Wo buzurg Imam ki baat sun kar samajh gaey ke ye koi mamuli bachcha nahi hai balke zamane ka hadi aur imam hai. Hamara farz hai ke apni zindagi ko khel kood mei barbad na karein. Allah ke ehkaam ki khilaf warzi na karein. Har kam se pehle soch lein ke Allah is se khush hoga ya naraaz, jin kaamon se khuda naraaz hoga in ko na karein. Sirf wo kaam karein jis se khuda khush ho chahe namaz roza ho ya tijarat aur karobar. Manual M07 - Aqaid C-1 v2.00

Aqaid Chapter 2 KHUDA KI ZAAT O SIFAT AIK HAI. Khuda aik hai. Is ke kisi bhi qism ke hisse nahi ho sakte. Jo is ki zaat hai wohi is ki sifatein hain aur jo sifatein hain wohi is ki zaat hai Agar khuda ki zaat aur sifatein alag alag hongi to iske do hisse ho jayenge aur khuda who zaat hai jiske hisse nahi ho sakte. Bande ki zaat aur iski sifatein alag alag hoti hai. Masalan hum jab paida hote hai to na koi baat samajhte hai, na kuch bol sakte hai, na koi kaam kar sakte hai. Bade hokar hum mein achchi ya buri sifatein paida hoti hai jisse maaloom hota hai ki hum aur hai aur hamari sifatein aur hai. Lekin khuda ko kisi ne paida nahi kiya. Woh hamesha se hai aur hamesha rahega. Aur iski sifatein hamesha se hai aur hamesha rahegi. Iski zat aur sifaton mein na koi fark hai aur na ho sakta hai. Iski sifatein ain zaat hai. Who jabse hai ussi waqt se aalim hai, qadir hai, ba kamaal hai. Iska kamaal iski zaat se alag nahi hai. Manual M07 - Aqaid C-2 v2.00

Aqaid Chapter 3 SIFAAT E SABOOTIYA Koi cheez baghair banane wale ke nahi banti hai isliye manna padta hai ki is dunya ka koi paida karne wala hai. Isko kisi ne nahi paida kiya hai. Who hum sab ka khaliq hai. Khuda ke manne wale ka farz hai ki khuda jaisa hai isko waisa hi mane. Na iski murti banaye. Na dimaag mein iski tasweer soche isliye ke haathon se banane wala mujassima ya dimaag mein banne wali khayali tasweer dimaag ki paidavaar hai aur khuda khaliq hai makhlooq nahi hai. Iske liye chand sifaat ka jaanna zaroori hai jo ismein payi jati hai aur inka naam sifaat e sabootiya hai. Sifaat e sabootiya hazbe zail hai. Qadeem: Khuda qadeem hai. Who hamesha se hai aur hamesha rahega kyunki na isko kisi ne paida kiya hai na isko maut a sakti hai. Qadir: Khuda har cheez par qadir hai. Kisi kaam ke karne par majboor nahi hai. Lihaza jisko chahta hai paida karta hai aur jab chata hai ise maut dedeta hai. Aalim: Khuda aalim hai. Yeh sabkuch janta hai. Woh is dunya ke kisi kaam se be khabar nahi hai. Mudrik: Khuda mudrik hai yani baghair dimaag ke sab kuch jaanta hai. Baghair aankh ke sabkuch dekhta hai. Baghair kaan ke har awaaz sunta hai. Baghair haath pair ke sab kaam karta hai. Agar woh apne kaamon mein dimaag, aankh kaan, haath aur pair ka mohtaaj ho jaye to who khuda nahi rahega. Isliye ki khuda mohtaj nahi hai. Haiyy: Khuda sabko zindagi aur maut deta hai magar isse na kisis ne zindagi di hai aur na isko maut aa sakti hai. Woh haiyy hai yani hamesha se zinda hai aur hamesha zinda rahega. Mureed: Khuda mureed hai. Jo kaam jab chahta hai karta hai aur jab chahta hai nahi karta. Jab chata hai sooraj ko chamkata hai. Jab chahta hai chand nikalta hai. Jab chahta hai pani barsata hai. Jab chata hai rok deta hai. Na who kisi kaam ke karne par majboor hai na koi isko koi kaam karne ke liya majboor kar sakta hai. Mutakallim: Khuda mutakallim hai. Jis cheez mein chahta hai apni awaaz paida karke apne bando se baatein kar leta hai. Jaise janab e moosa se darakht mein awaaz paida karke baatein ki aur hamare nabi se shab e meraj hazrat ali ke lehje mein batein ki. Sadiq: Khuda sadiq hai. Iska har wada pakka hai. Woh har baat mein sachcha hai isliye ki jhoot bolna bura hai aur khuda har burai se pak hai. Manual M07 - Aqaid C-3 v2.00

Aqaid Chapter 4 SIFAAT E SALBIYA. Agar hum kisi aalim ko jaahil aur kisi bahadur ko buzdil samjhe to who hamse kabhi khush na hoga. Isi tarah agar hum khuda ko aisi sifaton wala mane jo sifatein ismein nahi payi jati to khuda hamse kabhi razi nahi ho sakta. Isliye zarorat hai ki hum unn sifaton ko bhi jaan le jo khuda mein nahi payi jati aur jinka manne wala khuda ka manne wala nahi hai. Inn sifaton ka naam sifaat e salbiya hai jo yeh hai 1. Khuda murakkab nahi: Muraqqab who cheez hoti hai jo kuch cheezon se milkar banti hai. Jaise sharbat shakkar aur pani se milkar banta hai. Khuda kisi cheez se milkar nahi bana hai. Shakkar aur pani sharbat ke ajza hai aur khuda ka koi juzz nahi hai isliye ki shakkar aur pani pehle hota hai, sharabt baad mein hota hai. Agar khuda bhi kuch ajza se milkar bana hoga to ajza pehle honge aur woh khud baadmein banega. Is tarah na woh qadeem rahega na khaliq rahega balki makhlooq ho jayega jo pehle nahi hota hai aur phir ho jata hai. 2. Khuda jism nahi rakhta: Isliye ki jism muraqqab hota hai aur makhlooq hota hai. Jabki khuda na makhlooq hai na murakkab hai. 3. Khuda ki sifatein uski zaat se alag nahi hai- yaani khuda ki sifatein ain e zaat hai kyunki agar uski zaat aur uski sifatein alag alag hongi to zati taur par khuda in sifaton se kahli honga aur jo sifaat se alag ho who khuda nahi ho sakta. 4. Khuda maraye nahi. Yani usko dunya o akhirat mein kahin bhi koi nahi dekh sakta kyunki dikhayee dene wala jism hota hai aur khda jism nahi rakhta. 5. Khuda kisi cheez mein hulool nahi karta: Jis tarah khaulte pani mein garmi samaa jati hai, ya baraf mein thandak, ya jism mein ruh sama jati hai. Is tarah na khuda kissi cheez mein sama sakta hai na koi cheez usmein sama sakti hai kyunki hulool jismon mein hota hai aur khuda jism nahi rakhta. 6. Khuda maqaam nahi rakhta- yani na khuda ke rehne ki koi khaaas jagah hai na uski taraf ishara kiya ja sakta hai. Kyunki ishara jism ki taraf kiya jata hai aur khud ajism nahi rakhta. 7. Khuda mehelle hawadis nahi. Yani khuda mein badalne wali koi cheez nahi. Badalne wali cheez na hamesha se hoti hai na hamesha rehti hai aur khuda hamesha se hai ausr hamesha rahega. 8. Khuda ka koi shareek nahi- yani na khuda ki zat mein koi iska shareek hai na iski sifaton mein koi iska shareek hai na iske kamon mein koi iska shareek haiaur na uske ilawa kisi ki ibadat ki ja sakti hai. Wohek aur akela hai aur har lihaaz se la shareek hai. Manual M07 - Aqaid C-4 v2.00

Aqaid Chapter 5 KHUDA QADIR O MUKHTAAR HAI. Khuda qadir hai. Yani har cheez par qudrat rakhta hai. Kisi kaam ke karne se aajiz nahi hai. Khuda mukhtaar bhi hai. Yani kisi kaam ke karne par majboor nahi hai jiss kaam ko chahta hai karta hai aur jiss kaam ko nahi chahta nahi karta balki ek hi kaam ko jab chahta hai karta hai aur jab chahta hai nahi karta Jaise janaab e Ibrahim (as) ke liye aag thandi kar di thi aur janab e Moosa (as) ne jab angaara haath mein uthaya to aapka haath jal gaya kyunki aag ka jalana ya bujhana kduha ka maqsad na tha balki nabi ko bachana maqsood tha. Janab e Ibrahim (as) tabhi bach sakte the jab aag thandi ho jaye aur janabe Moosa (a.s.) tabhi bach sakte the jab haath jal jaye kyunki firaun ko shuba tha ki who bachcha janab e moosa hi hai jo iski hukumat ko mita denga aur agar angaara aapke haath ko na jalata to firaun pehchaan leta aur aapko qatal kar daalta isliye aag ko thanda karna munasib na tha aur haath ka jal jana zaroori tha. Khuda apne kissi kaam mein kisi ke mashware aur mada ka mohtaaj nahi hai, na koi isko kisis kaam se rok sakta hai. Rasul e Khuda s.a.w.s nay farmaaya kay A ka farmaan hai kay meray momin bando may aisay banday hai jin ka deen sarwat aur wusat e rizq aur jismaani sehat say qaaim rehta hai to mi unhay sarwat aur wust e rizq aur jismaani sehat day kar aazmaata hu aurmeary kuch aisay banday bhi hai jin ka deen fiqro faaqa aur jismaani beemari say qaem reh sakta hai to mai unhay gurbat o iflaas aur beemari say aazmaata hu taaqe un ka deen qaaem rahay aur mai bakhoobi jaanta hu kay momin bando ka deen kis cheez say qaaem reh sakta hai. Imam Mohd Baqir a.s. nay farmaaya : A ki qaza ko tasleem karnay ka sab say ziyaada haqdaar woh hai jo A ki maarefat rakhta ho aur jo qaza-e- Khudawandi par raazi rahega to qaza us par waarid hogi aur raza ki wajah say A.. us kay ajr may izaafa kardega aur jo qaza-e-ilaahi par naaraaz hoga to qaza jaari ho kar rahegi magar A us ka ajr zaaya kar dega. Manual M07 - Aqaid C-5 v2.00

Aqaid Chapter 6 KHUDA BURAEE NAHI KARTA Tumko maaloom hai ki khuda har cheez par qadir hai. Yani who jo chahe kar sakta hai. Isse baaz log yeh samajhte hai ki khuda buraee bhi karta hai. Jhoot bhi bolta hai, zulm bhi karta hai aur wada karke muqar bhi jata hai isliye ki who har cheez par qadir hai. Tum khud socho ki kya aisa samajhne theek hai? Qadir hone ke mana hai karsakna na ki karna. Is liye ki khuda ke qadir hone ka matlab yeh hai ki woh jo chahe kar sakta hai magar laazim nahi ki zaroor kare. Jab buri baaton ko hum pasand nahi karte to khuda kaise pasand kar sakta hai. Hum her paani se muu dhone par qadir hai chahe who pani najis ho ya pak ho, neher mein beh raha ho ya gandi nali mein Lekin nali mein behne wale gande pani se sirf pagal hi muu dhota hai, hum nahi dhote. Isi se samajhlo ki hum gande pani se muh dho sakte hai magar dhote nahi. Khuda bhi jhoot bol sakta hai magar bolta nahi, zulm kar sakta hai magar karta nahi, wada karke mukar sakta hai magar mukarta nahi aur buraee kar sakta hai magar karta nahi. Manual M07 - Aqaid C-6 v2.00

Aqaid Chapter 7 INSAAN MAJBOOR HAI YA MUKHTAAR Is dunya mein bohot se aise kaam hai jinka insaan se koi taaluk nahi hai. Masalan sooraj ka nikalna aur doobna, mausam ka badalna waghaira. Yeh kaam sirf khuda ke hai in kamon ko banda nahi kar sakta. Kuch kaam aise hai jinke karne mein khuda aur bande dono ka hissa hota hai jaise khet jotna, bona, pani dena, khaad dalna hamara kaam hai aur darakht ka ugana aur ismein phool aur phal paida karna khuda ka kaam hai. Boht se kaam aise hai jinhe sirf hum karte hai. Inmein khuda shareek nahi hota. Jaise hum sach bolte hai ya jhoot, halaal khate hai ya haraam, namaz padhte hai ya nahi padhte, roza rakhte hai ya nahi rakhte waghaira. Ye khalis hamare kaam hai, Inko hum hi karte hai. Hamare in kamon mein khuda shareek nahi hota. Yeh samjhna ghalat hai ki hamare sare kam asl mein khuda ke kaam hai jinko woh hamare zariye anjaam deta hai aur hum in kamon ke karne par majboor hai balki hum apne in kamon mein qadir aur mukhtar hai chahe kare chahe na kare. Ek martaba Abu Hanifa ne hamare chatte Imam Hazrat Jjafar e Sadiq (as) se is masale par behes ki thi. Abu hanifa ke kahyal mein khuda insaan ke har achche aur bure kaam ka zimmedaar tha. Imam ne Abu Hanifa ko jawab diya ki agar insaan ke kaam ko sirf khuda karta hai to achche ya bure kaam ki jaza ya saza khuda hi ko milna chahiye (ma azallah) aur agar insaan aur khda milkar achche ya bure kaam akrte hain to bhi insaan ke saath khuda ko bhi (ma azallah) saza ya jaza milna chahiye. Lekin yeh dono baatein ghalat hai. Sahi baat yahi hai ki insaan apne kaam khud karta hai isiliye isko jaza ya saza milegi. Imam ki yeh baat sunkar Abu Hanifa sharminda hogaye aur koi jawab na de sake. Gharz ye ki jis tarah yeh kehna ghalat hai ki hum kuch nahi kar sakte balki sabkuch khuda karta hai isi tarah yeh kehna bhi ghalat hai ki hum sab kaam karsakte hai. Aik baar hamare maula Hazrat Ali (as) se kisi ne poocha tha ki insaan sab kaam kar sakta hai ya nahi to aapne farmaya ki aik pair uthakar khade ho jao, jab isne apna aik pair utha liya to aapne farmaya ki doosra pair bhi uthalo. Isne kaha doosra pair uthane se majboor hun. Aapne farmaya ki jis tarah aik pair ke baad dosre pair ka utha lena na mumkin hai isi tarah dunya mein bohot se kaam aise hain jo hamare bus mein nahi hain lihaza yaad rakho ke jis tarah banda khuda ke kaam mein dakhal nahi de sakta isi tarah khuda bhi bando ke kaam mein shareek nahi hai. Jo jaisa karega usko usi aitbaar se saza ya jaza milegi. Islaam ye chahta hai kay asbaab (means) muhayya kiye jaein aur nateeje kay liye A... per bharosa kia jaye. Islam nay tark e asbaab (means) ki ta leem nahi di. Quran e Majeed ne hamesha asbaab (means) muhayya karne par zor diya hai masalan Quran e Majeed Sura e Nisa, Ayat :102 main mujaahideen ko ye dars diya ke jab ain jang main namaz ka waqt aajaye to wo apne hathiyaar aur bachao ka saman le kar namaz parhain. Is ke ilawa hukum aya dushmanon ke muqable main apni quwwat amada karo aur ghodhe (horses) tayyar rakho ya Hazrat Musa ko Allah ne hukum diya Mere bandon ko le kar raat ke waqt safar karo take dushman tumhain dekhne na paye. (Sura e Dukhan, Ayat:23) Haan Islam ki ta leem ye hai ke dushman ke muqable ke liye quwwat(taqat) amada rakho laikin nateeja khuda ke supurd kar diya jaye. Yahi wajah hai ke Imam Ja far e Sadiq ne farmaya A... ne apne bandon par farz kiya hai ke wo apni zaroraton ko in asbaab (means) ke zariye sey hasil karain jo A... ne muqarrar kiye hain aur hukm diya hai ke in wasaail se istifada karain. Manual M07 - Aqaid C-7 v2.00

Aqaid Chapter 8 TEEN SAWAL AIK JAWAB Hazrat Bohlool(r) nihayat hi hoshyaar aur aqalmand aadmi the. Haazir jawabi mein aapka jawab na tha. Aik din aap aik masjid ke paas se guzre jahan Abu Hanifa apne shagirdon ko sabaq de rahe the. Aapne ye suna ke Abu Hanifa keh rahe hain ke Imam Jafar e Sadiq (A.S.) ki teen batein apni samajh mein nahi aati: Wo kehte hain ke khuda qayamat ke din bhi na dikhaee dega halanke jo cheez maujood hai who nazar zaroor ayegi. Inka kehna hai ke shaitaan ko jahannam mein jalaya jayega halanke shaitaan aag se bana hai aur aag aag ko nahi jala sakti. Inka bayan hai ki bande apne kaam mein khud mukhtaar hai halanke bande ke bus mein kuch nahi hai. Jo kuch karta hai khuda karta hai. Bohlool ko yah sunkar gussa aa gaya aur jaise hi Abu Hanifa bahar aaye aik dhela khench mara. Abu hanifa ke shagirdon ne Bohlool(r) ko pakad liya aur qazi ke samne le gaye. Bohlool ne kaha ke yeh log bila wajah mujhe pakar kar laae hain, meri koi khata nahi hai. Abu hanifa bole ke tumne mujhe dhela mara hai. Bohlool ne kaha tum abhi keh rahe the ki saare kaam khuda karta hai, banda kuch nahi karta. Abu Hanifa ne kaha ke mere sakht chot aa gayee hai, dard se bechain hu aur tum mazaaq kar rahe ho. Bohlool ne kaha. Kahan hai dard? zara dekhe to! Abu Hanifa ne kaha. Dard bhi koi dikhaee dene wali cheez hai. Bohlool ne jawab diya: Agar hai to use nazar aana chahiye isliye ke tum kehte ho ke jo cheez maujood hai wo dikhaee zaroor de gi Aur phir yeh ke dhele se tumhe chot bhi nahi aa sakti is liye ke tum kehte ho shaitaan aag se bana hai ise jahannam ki aag jala nahi sakti. Tum bhi matti ke bane huwe ho dhela bhi matti ka tha ise tumhe chot kaise ayee? Abu hanifa sakht sharminda huwe aur Bohlool haste huwe chale gaye. Bohlool ne aik dhele se yeh sabit kar diya ki insaan apne kamon ka khud zimmedaar hai khuda par iski koi zimmedari nahi hai. Manual M07 - Aqaid C-8 v2.00

Aqaid Chapter 9 BARA IMAM Hazrat Mohammad Mustafa (SAW) ki bohot si hadisein darj hain jin mei aap ne farmaya hai ke maire khalifa aur ummat ke haadi bara honge. Bara ki qaid ka yehi matlab hai ke imam aur khalifa na bara se kam ho sakte hain aur na bara se zaed. Aaj musalmanon mei jitne firqe paae jaate hain un mei sirf Shia Isna-asheri hi aisa firqa hai jo bara imamon ko maanta hai. Warna doosre firqon ke imam aur khalifa ya bara se kam hain ya zyada hain. Hum Shia Isna-asheri isi liye kehlate hain ke isna-asher ke ma ni bara hain aur Isna-asheri shia sirf bara imamon ke maanne wale hain, is daleel se Shia Isna-asheri ka sachcha firqa hona sabit hota hai. Hum jin bara imamon ko maante hain inke imam hone ki bohot si daleelein hain. Pehli Daleel: Hazrat Mohammad Mustafa (SAW) ne irshaad farmaya hai ke mere baad mere khalifa Ali (A.S.) honge, in ke baad Hasan (A.S.), in ke baad Husain (A.S.), phir Ali ibn-il Husain Zainul Addeen (A.S.), in ke baad Mohammad ibn Ali al-baqir (A.S.), phir Ja far ibn Mohammad as-sadiq (A.S.), in ke baad Musa ibne Ja far al-kazim (A.S.), phir Ali ibne Musa ar-reza (A.S.), in ke baad Mohammad ibne Ali at-taqi (A.S.), phir Ali ibne Mohammad an-naqi (A.S.), in ke baad Hasan ibne Ali al-askeri, phir Mohammad ibne Hasan al-mehdi honge. Maloom huwa ke nabi apne bara imamon ke naam ma a laqab aur baap ke naam ke batla gae hain. Lehaza har musalman ka farz hai ke jab nabi ka bataya huwa deen maana hai to in ke batae huwe imamon ka bhi iqraar kare. Doosri Daleel: Paighambar-e-Islam ki mashhoor hadees hai- inni tarikun fikumus-saqalaini kitaballahi wa itrati ahla baiti maa in tamassaktum bihima lan tazillu ba di wa inna-huma lainyyaftareta hatta yadeda alayyal hawz- Main tum mein do ba azmat aur geraan-qadr cheezein chor kar ja raha hoon jin se wabasta raho ge to kabhi har-giz mere baad gumrah na hoge. Aik Allah ki kitab hai doosri meri itrat hai wahi mere Ahle Bayt hain. Quran Majeed aur mere Ahle Bayt aik doosre ke saath rahenge, kabhi juda na honge. Hawze Kausar par dno mere paas ayenge. Imam isi liye hota hai ke wo gumrahi ko rok sake. Paighambar-e-Islam ke irshaad ke mutabiq Quran aur Ahle Bayt gumrahi se bachane wale hain is liye zaruri hai ke qayamat tak Quran ke saath koi Imam bhi rahe jo nabi ki itrat yani aap ki aulad mei se ho aur hamare bara imam sab ke sab nabi ke Ahle Bayt aur aap ki itrat hain. Is hadees se hamare bara imamon ka imam hona sabit hota hai kyunke bara imamon ke ilawa jitne logon ne khalifa ya imam hone ka dawa kiya wo nabi ke Ahle Bayt na the. Lehaza aimma Ahle Bayt (A.S) ko imam maanna har sahebe eimaan ke liye zaroori hai. Manual M07 - Aqaid C-9 v2.00

Aqaid Chapter 10 QAYAMAT Qayamat ka doosra naam ma ad hai. Qayamat wo din hai jab insaan dobara zinda kiye jaenge taake inke achche bure kaamon ka hisaab liya jaaey aur aamal ke mutabiq inko jannat ya dozakh mei jaga di jaegi. Murdon ke zinda karne par ta ajjub nahi karna chahiyye. Kyunke jo khuda apni qudrat se baghair kisi cheez ke sab kuch paida kar sakta hai wo is baat par bhi qadir hai ke tamaam insanon ko marne ke baad dobara zinda karde. Aik martaba ka waqia hai ke Janabe Ibraheem (A.S) aik darya ke kinare se guzre. Aap ne dekha ke aik murdaar hai jis ka aadha hissa darya ke bahar hai aur aadha hissa darya ke andar. Aap ko ye dekh kar sakht ta ajjub huwa aur aap ne Allah ki bargah mei dua ki. Parwardegar mujhe ye dikha de ke aise murdon ko kaise zinda karega. Hukm huwa, Ibraheem, chaar janwaron ko pakar kar apne haath mai lo, phir is ke baad inhein zibah karke inke tukre alag alag pahaaron par rakh do aur sab ki minqaar (chonch) apne haath mei rakkho. Iske baad sab ko alag alag awaaz do. Ye saare tukre dor kar tumhare paas aajaenge. Janabe Ibrahim ne aisa hi kia aur aap ne jo awaz di to har janwar ke tukre aane lage. Aap ne har aik ki chonch is ke jism mei laga di aur har janwar parwaz kargaya. Is waqiye se saaf zahir hota hai ke khuda wande alam marne ke baad balke qeema qeema hone ke baad bhi zinda karne ki taqat rakhta hai. Iski taqat mai shak karna Qurane Kareem par eiman na lane aur khuda aur rasul ki baat ka inkar karne ke barabar hai. Manual M07 - Aqaid C-10 v2.00

Aqaid Chapter 11 AMAL AUR HISAAB Allah ne bandon ko amal ka mauqa sirf dunya mei diya hai. Aakhirat mei kisi ko amal ka mauqa nahi milega. Jo log is dunya mei namaz roza nahi karte, zakat khums nahi nikalte, hajj nahi karte aur mar jate hain wo aakhirat mei bohot pachtaenge aur siwae afsos karne ke kuch inke hath nahi lagega Aakhirat sirf jaza aur saza ki jagah hai, amal ki jagah nahi hai. Amal karne ke liye sirf dunya hai. Yahan jaza aur saza di jati hoti to nabi aur imam aur Allah ke naik bande musibaton mei na rehte aur na Namrood, Firaun, Yazeed jaise bure log rahat o aaram mei rehte Khairat karne se balaen zaroor door hoti hain laikin khairat ka swab akhirat mei milega. Isi tarah gunahon se balaen nazil hoti haimagar gunahon ki saza aakhirat mei hi milne wali hai. Allah ne do farishte har insaan par muayyin kiye hain jo iske har kaam ko likhte rehte hain. Hisaab ke din malaika ke likhe huwe amaal namey insan ko dite jaenge jis ke baad koi shakhs apne gunahon se inkar na kar sake ga. Aamal name ke ilawa hamare hath pair, aankh, kaan sab aaza bhi hamare in tamam gunahon ki gawahi denge jo guan ham ne in aaza se kiye honge. Allah ne jannat ya dozakh mei jagah dene se pehle hisaab kitaab is liye rakha hai taake koi shakhs Allah par aetaraz na kar sakey agar khuda paida karte hi insan ko jannat ya dozakh mei bhej deta to log aetaraz arte ke baghair gunah ke dozakh mei kyoun dala aur baghair ibadat ke jannat mei jagah kyoun di. Aamal ke baad koi shakhs khuda par aetaraz na kar sakega. Manual M07 - Aqaid C-11 v2.00