JAWAHIR PROGRAM JUZ Qur'an and teaches it." [Al-Bukhari]

Similar documents
Insurance Awareness Program. 2 nd Quarter FY Report. SBI Life Insurance Company Limited

Yeh sirf is liye hai ki jungle mein kisi qayda aur qanoon ke baghair darakht ugte hain, aur baagh mein qayde se lagaye jate hain.

Language Negotiation In a Multilingual Mathematics Classroom: An Analysis

More Than 100 Famous Indian Song Notations 200 Pages. Produced By

Exploring Dormancy in No Frills Saving Accounts in Rajasthan

Personality Profile of Individual Having Mental Health Problems (V): A Rorschach Investigation

Weekend Islamic Children School Curriculum

What are some of the virtues of Surah Al Baqarah?

Horoscope In Your Hand

Shafi Duas Of. Salaah. Dua is the core of worship Hadeeth Shareef DUAS BEFORE WUDHU. 1) Read: 2) Then: 3) Then read this dua:

Islamic Studies. Student Workbook. Level 1. Name. 2 Dudley Street Cheetham Hill Manchester, M89DA. manchestersalafischool.

The Six Foundations of Shaykh ul-islaam Ibn Abdul-Wahhaab Translation by Spubs.Com

Islamic Studies Standardized Test. Standards and Competencies for Aqidah, Fiqh, and Aqlahq

Assalaamualaikum, TAJWEED:

Song No. Song Name Language Singer Movie Aa Aa Bhi Ja Hindi Lata Mangeshkar Tesri Kasam

The Language of TV Commercials Slogans: A Semantic Analysis

Islamic Activity Lessons Page 1

Islamic Copywork An-Nawawi s Forty Hadith Part 4

2. All those things that make the Wudhoo Batil, E.g. sleeping, passing wind, etc.

ISLAMBASE PUBLICATIONS TEAM. Web:

Ziyarath s in Makkah AL Mukarramah: Ziyarath s in Madina Al Munawwarah:


The Prophet s Hajj. Mufti Muhammad Khan Qaadri. How the Prophet Performed the Farewell Hajj. Translated by Muhammad Sajid

The Colour of My Heart: On Reading Faiz By Aamer Hussein

Question 1 (compulsory question ) Paper 1. Surahs. 1 Choose any two of the following passages from the Qur an, and:


What Should Hajj Pilgrims and Those Who Perform Umrah Do?

How to perform Salaah (Prayer)

Check you have the following items before leaving home

FA 4 Portion Grade 2 ( )

INDIAN TELEVISION COMMERCIALS REINFORCING TRADITIONAL GENDER IMAGES AND ROLES

Bathing after Intercourse

An Nawawi s Forty Hadith

Recite with the Heart

Rulings of Udhiyah (Sacrifice)

Imam An-Nawawee s 40 Hadith Session 1 Introduction and Hadith # 1. The Muslim Community Center, Silver Spring, MD

Silat Al-Rahm (Family Ties) in Islam

Zakat-ul-mal (Zakat)

Solar-DC and Electric Vehicles An Opportunity for India. Ashok Jhunjhunwala, IITM

ISLAMIC DIVINE LAW (SHARI AH) Structuring the Life of Man by Divine Law. Mashhad Al-Allaf

A long time ago there was a group of people who worshipped idols. Then Allah sent PROPHET NUH to guide these people to the right path.

Madrasah And Yateemkhana (Orphanage) (Boys and Girls) 5, Outer Circular Road, Rajarbag Shareef, Dhaka-1217, Bangladesh.

THE HINDU MARRIAGE ACT

Fiqh of Adhan & Iqamah

The Conditions of Pictures and Photography being Impermissible in Light of the Shari ah

Ayesha Community School

Rights of Beneficiaries In Family Takaful (Islamic Life Insurance): A Global Context

What is a Sahih Hadith?

The Hajjar (r.a.) Story and Guide

Qabeelat Wasat DETOX: Fiqh of Fasting & Zakat Professional Notes

Mentions of Eid-ul-Fitr 1 in the Qur an and the Hadith

Shia Namaz. Instructions Recitation and Meaning

BY-LAWS OF THE ISLAMIC CENTER OF OMAHA

The Global Islamic Civilization: The Power of a Nation Revived Brought to you by: The United Muslim Nations International

Writing Days and Months

Published by Deutsche Gesellschaft für Internationale Zusammenarbeit (GIZ) GmbH GIZ NABARD Rural Financial Institutions Programme

ISTIQBÂL-I QIBLA 0,33490 = 0,56121

The Ruling on using Zakah money to fund the places of memorizing the Quran

THE ISLAMIC BULLETIN

B A B I V H A S I L P E N E L I T I A N D A N P E M B A H A S A N

GCE. Religious Studies. Mark Scheme for June Advanced GCE Unit G588: Islam. Oxford Cambridge and RSA Examinations

FINAL REPORT. Synopsis

Some Aspects of Marriage and Divorce in Muslim Family Law

FATAWA CREDIT CARDS 2004


UMRAH. A Complete Guide

Rossmoor Website SEO Tracking Sheet Updated: April 1, 2014

LAW OF DIVORCE & KHULA IN PAKISTAN. By: Barrister Ali Shaikh

Developing creative writing skills in early childhood: A case study from Pakistan

1.- L a m e j o r o p c ió n e s c l o na r e l d i s co ( s e e x p li c a r á d es p u é s ).

GUIDELINES FOR HEALTH CARE PROVIDERS INTERACTING WITH MUSLIM PATIENTS AND THEIR FAMILIES

Dhoon - 1. Bhaj man Swaminarayan

E-learning and Student Mobility in Higher Education. BEST Symposium on Education, Gothenburg 2 nd June 10 th June; 2007

The Fiqh of Hajj Taken from

29 th April Al Qaadir, Al Qadeer & Al Muqtadeer The All Able, the Omnipotent, the Dominant Sister Eman al Obaid

Bism Allah al-rahman al-rahim Nahmuduhu wa nisalli ala rasulihi al-karim

Your guide to understanding and calculating ZAKAT

Ramadan & Fasting By Abu Ameenah Bilal Philips

How to Convert to Islam and Become a Muslim

INTERFAITH MARRIAGE IN ISLAM AND PRESENT SITUATION

Inheritance in Islam

Key Stage: 2 Year: Lower Juniors Subject: Muslim Family Life Time allocation: 1 hour per week

To use the Muslim concept of Jihad to understand Muslim attitudes to war.

BEFORE JUSTICE (Retd.) MAHMOOD ALI KHAN SOLE ARBITRATOR. A.M. No. D-061 of 2011

On Raising the Hands in Prayer #2

100 Q and A about Islam

AL-QURAN THEMES CLASSIFICATION USING ONTOLOGY

Annual Report

The Islamic Family House

JPIA s Training Department Introduces Prosperity Learning Management System. User s Guide for Students

Golden Rules for Memorizing The Noble Qur an

How to Discipline Children the Islamic Way

w w w. e d c. o r g. k w

The Fasting of. Ramadan. A Collection of Works by Sheikh Muhammad ibn Jameel Zeenoo. Translated by: Abu ʹAbdullaah Mohammed Akhtar Chaudhry

Year 9 mathematics test

For Allah's sake Don't make Haj and Umrah A Holy Picnic


Forum for proximity of Islamic Schools of Thought

PROPHET MUHAMMAD (pbuh) The Final Messenger of God

Transcription:

JAWAHIR PROGRAM JUZ 1 15 " وعلمه القرآن تعلم من "خيركم. "The best amongst you is the one who learns the Qur'an and teaches it." [Al-Bukhari] www.livequranev erymoment.org

www.livequraneverymoment.org darularqamonline@gmail.com 00919705016472 https://m.facebook.com/darul-arqam-1410562455849601/ https://www.instagram.com/p/be-nr-uhizx/ http://www.youtube.com/darularqamonline

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah Al Fatiha Ayaat 7 Ruku- 1 Juz 1- Alif Laam Meem Surah- Al Fatiha Surah 1 Makki Surah Fatiha Ayat 1-7 Is Soorat Me Allah Ki Tareef Aur Hamd Ki Jaarahi Hai Allah Ki Sifaat Jinka Bayaan Hai Wo Hai Tamaam Jahano Ke Rab( Sustainer) Rehman ( Bahut Reham Karne Wale, Intensely Merciful) Raheem ( Baar Baar Reham Karne Wale, Continuosly Merciful) Qayamat Ke Din Ke Malik Hai Dua Ki Jaa Rahi Hai Ke Ke Ham Sirf Aapki Ibadat Karte Hai Seedhe Raaste Ki Hidayat Dijiye Wo Rasta Jinpar Hidyat Hui (Ambiya, Siddiqeen, Shuhada, Saliheen) Na Unka Rasta Jinpar Ghazab Hua ( Yahoodi Aur Doosre Log) Na Unka Rasta Jo Bhatke Hue Hai ( Isayi Aur Doosre Log) Ayaat 286 Ruku- 39 Surah- Baqarah Surah 2 Madani Ruku 1- Ayah 1-7 (In Ayaat Me Taqwa Wale Aur Kafiro Ka Zikr Hai) Quran Hidayat Hai Taqwa Karne Walo Ke Liye (Muttaqi Log) Taqwa -Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karne Wale Aur Allah Ke Dar Se Bure Kaam Chodne Wale Muttaqiyo Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par Iman, Pichli Kitabo Par Iman Akhirat Par Iman Kaafiro Ko Samjhane Par Bhi Samajh Nahi Ayega Kyu Ke Unke Dilo Par Mohar Hai Kaano Par Bhi Aur Ankho Par Parda Hai Aur Wo Bade Azaab Me Hai Ruku 2- Ayah 7-20 (In Ayat Me Munafiqeen Ka Zikr Hai) Munafiqeen Ki Sifaat Sirf Zaban Se Iman Dhokha Shaoor Ka Na Hona Dilo Me Munafaqat Ki Beemari Jhooth Islah Ke Naam Par Fasaad Iman Walo Ko Bewakoof Kehha Iman Walo Se Kehte Hai Ke Iman Laye, Lekin Kaafiro Se Kehte Unke Saath Hai, Musalmano Ka Mazaakh Karna Unko Dheel Di Gayi Hai, Aur Unhone Gumrahi Ko Choose / Prefer Kiya Hidayat Par www.livequraneverymoment.org Page 1

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Misaalein Munafiqeen Ki 1-Aitakaadi Munafiqeen- Muhammad S.A.W Ke Aane Se Pehle Shirk, Kufr Ke Andhero Me The. Jab Aap Aaye To Mahol Raushan Hua, Lekin Unke Andar Ka Jo Noor Hai Wo Bujh Gaya. (Haq Se) Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki Taraf Palatna Unka Mushkil Hai 2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath, Usme Azmayasho Ke Andhere, Bijli Aur Kadak Hoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke Saath Ho Jaate, Jab Koi Nuksaan Dikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki Salahiyat Le Le, Lekin Allah Ne Inko Mauka Diya Hai. Ruku 3- Ayaah 21-29 Ayah 20-22 Rab Ki Ibadat Ki Dawat-Ibadat Se Taqwa Hasil Hota Hai (Ayah 20-22) Ibadat Ke Mayne Bahut Vast Hai Rab Kaun Hai? Jisne Hame Aur Hamare Pehle Ke Logo Ko Paida Kiya Zameen Ko Farsh Ki Tarah Spread Kiya Aasman Ko Chat Banaya Asman Se Barish Barsaya, Usse Nabataat Ki Paydawaar Ayah 23-24 Agar Quran Par Shak Hai Ki Ye Allah Ka Kalaam Hai To Sab Milkar Isjaisi Soorat Laao, Phir Ye Bhi Kaha Jaa Raha Hai Ki Ye Impossible Hai, Jab Fail Ho Jao To Jahannum Ki Aag Me Jalne Tayyar Hi Jao Kiska Indhan Aag Aur Pathar Hai Ayah 24-25 - Jannat Ki Tasweer Ye Iman Aur Amal Karne Walo Ki Hai Isme Duniya Jaise Dikhne Me, Lekin Quality Me Bahut Aal Phal Honge Pure Spouse Hameshgi Ki Zindagi Matchar Ki Misaal (Ayah 26) Aisi Misaalo Se Fasiq ( Hado Ko Todne Wale) Bhatakte Hai Aur Iman Walo Ko Aur Zyada Hidayat Milti Hai. Fasiq Ki Sifaat, Jo Khasara Pane Wale Hai (Losers) (27) Allah Ke Ahad Todna Rishte Kaatna, Allah Se Talluq Na Rakhan Zameen Me Fasaad Karna Ayah 28 & 29-Ay Insaan Allah Ne Tumhe Paida Kiya, Wahi Maut Denge, Wahi Wapas Jaana Hai Zameen Ke Sab Cheezo Ko Paida Kiya, 7 Asmaan Banaye, Us Allah Ka Inkar Kaise Kar Sakte Ho. Ruku 4-Ayaat 30-39 Is Ruku Me Adam A.S Ka Waqeya Hai. Allah Ka Farishto Se Adam A.S Ke Taqleeq Ke Irade Ke Bare Me Kehna. Farishto Ka Jawaab Ke Jino Ke Baad Ek Aur Sarkash Mufsid Maqlooq Ki Taqleeq Kyu?Allah Ka Jawab Ke Allah Wo Janhte Hai, Jo Farishte Nahi Jante, Yaane Insaan Ko Ilm Diya Jayega. Adam A.S Ko Ilm Diya Gaya, Aur Adam A.S Ne Saari Cheezo Ke Naam Durust Bataye, Farishto Ko Hukm Hua Ke Wo Adam A.S Ka Sajdah Kare, Iblees Ne Inkar Kiya Aur Kafir Hua. Adam A.S Aur Hazrat Hawa Ko Jannat Me Rakha Gaya Aur Kaha Gaya Ke Ek Darakht Ke Phal Ke Paas Nahi Jaana. Shaytaan Ne Dono Ko Phisla Diya Aur Dono Ne Phal Khaa Liya.(Unko Ye Kehkar Uksaya Ke Ye Phal Khane Se Hameshgi Ki Zindagi Milegi) Unhe Jannat Se Nikal Diya Gaya, Zameen Par Wo Utre (Adam, Hawa Aur Iblees) Aur Kaha Gaya Jin-Jin, Insan-Jin, Insan-Insan Apas Me Dushman Honge www.livequraneverymoment.org Page 2

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Allah Ki Hidayat (Rasool Aur Kitabo Ki Shakl Me) Jab Aye Uski Pairi Karne Wale Ke Liye Duniya Me Koi Khauf Na Hoga Aur Na Akhirat Me Gham Hidayat Ke Inkariyo Ke Liye Jahannum Ki Aag Jisme Hamesha Rehna Hai Adam A.S Ki Dua Jab Unhone Tauba Ki (Al Araaf -23) ٢٣ ٱ و ن أ ر Ay Hamare Rab, Zulm Kiya Hamne, Apne Nafso Par, Aur Agar Nahi Tu Bakshega Hamko Aur (Na)Reham Karega Hampar, Ham To Khasara Paane Walo Me Se Ho Jayenge Ayaat 40-124 Bani Israel Ka Zikr Hai Bani Israel Kaun Hai? Bani Yaane Bete Israel Yakoob A.S Ka Laqab Hai Yakoob A.S Ibraheem A.S Ke Bete The Ibraheem (As) Is haq (As) (Falasteen) Isma eel (As) (Makkah) 12 Bete Jinse 12 Qaum Ye 12 Beto Ki Naslo Ko Bani Israel Kehte Hai 12 Me Se 1 Yusuf A.S Moosa A.S, Harun A.S Dawood A.S, Suleman A.S, Yahya A.S Zakariya A.S Etc Sab Bani Israel Me Se Hi The Bani Israel Ka Asli Watan Falasteen Tha Yunus A.S Ko Unke Bahiyo Ne Kuwe Me Pheka, Waha Se Wo Misr Lejaye Gaye, Jab Wo Misr Me Bada Mukaam Paaye, Apne Bhaiyo Ko Misr Bulaya, Is Tarah Bani Israel Falasteen Se Misr Gaye. Lambe Arse Tak Bani Israel Ka Misr Me Zor Raha, Lekin Dheere Dheere Wo Kamzor Hue Yaha Tak Ke Firaun Ne Unko Ghulaam Bana Liya Aur Unse Khoob Mehnat Karwata Aur Zulm Karta Firaun Unke Beto Ko Qatl Karta Kyu Ke Kaha Jaata Hai Ke Usne Khaab Me Dekha Ke Bani Isarel Ke Ek Ladke Ki Wajah Se Uski Saltanat Qatm Hogi. Isliye Bhi Qatl Karta Taake Unki Poppulation Zyada Na Badhe Moosa A.S Bani Israel Ki Aulaado Me Se The Lekin Allah Ne Unhe Bacha Liya Aur Firaun Ke Ghar Me Wo Parwarish Paaye Moosa A.S Ke Zariye Allah Ne Bani Israel Ko Firaun Ke Zulm Se Bachaya, Aur Firaun Aur Uske Saathiyo Ko Red Sea Me Gharkh Kardiya Firaun Ke Gharkh Hone Ke Baad, Bani Israel Ko Lekar Moosa A.S Sehraye Seena (Sinayi Desert) Me Gaye. Waha Unhe Falateen Wapas Haasil Karne Ke Liye Jihad Ka Hukm Hua. Bani Israel Ne Jihad Se Inkar Kiya To Saza Ke Taur Par 40 Saal Sehraye Seena Me Hi Rahe Yahi Sehra Me Unpar Mann Aur Salwa Utarti, Baadalo Ka Saaya Hota Ur Paani Ke 12 Chasme Phoote Yahi Par Kohe Toor Par Bula Kar Allah Ne Moosa A.S Ko Tauraat Ata Ki Jab Moosa A.S Tauraat Lene Gaye, Us Waqt Bani Israel Ne Bachde Ki Pooja Shuru Kardi. Yahi Moosa A.S Aur Harun A.S Ka Inteqaal Hua. Moosa A.S Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Time Par Bani Israel Waapas Falasteen Me Daakhil Ho Paaye. www.livequraneverymoment.org Page 3

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Ruku 5-Ayaat 40-46 Nemato Ko Yaad Dilaya Jaa Raha Hai Ke Kis Tarah Sehra Me Bhi Mann, Salwa, Badalo Ka Saaya Etc Mila, Aur Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya Bheje Gaye Ambiya- Jinpar Wahi Hoti Rasool Jinpar Shariat Utarti Total Nabi-1 Lakh 24 000 Rasool 300+ Mentioned In Quran -24 Ayah 40-Bani Israel Se Wada-Ke Wo Akhri Nabi Ki Madad Karenge Allah Ka Wada Duniya Me Bhalayi, Uruj, Ikhtedaar Aur Jannat Ayah 41-Tauraat Par Iman Laane Ka Hukm Aur Apne Fayde Ke Liye Taurat Ki Tehreef Na Karne Ka Hukm, Aur Thode Paiso Ke Liye Taurat Ke Ehkamaat Ko Galat Samjhana Aur Galat Fatwe Naa Dena Ka Hukm Namaaz Qayam (Pahna, Waqt Par Padhna, Durust Tareeke Se Pahna) Etc Karna,Zakat Ada Karne Ka Hukm Logo Ko Neki Ka Hukm Dene Ke Saath Khud Bhi Amal Karne Ka Hukm Madad Maangne Ka Tareeka-Namaz Aur Sabr Namaz Sirf Khushu Karne Walo Par Bhari Nahi Khushu Karne Walo Ki Sifat Qayamat Ke Din Allah Se Milne, Hisaab Dene Par Yakeen Rakhte Hai Ruku 6 - Ayaat 47-59 Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya- Ye Unki Fazeelat Bani Israel Ke Beto Ka Qatl, Ye Allah Ki Taraf Se Aazmayash Firaun Aur Uske Saathiyo Ka Gharkh Hona 40 Din Kohe Toor Par Jaakar Moosa A.S Ka Tauraat Lana Moosa A.S Ke Peeche Bachde Ki Pooja Bachde Ki Pooja Ke Baad Unki Maafi Kis Tarah Hui? 3 Tarah Ke Log The 1. Bachde Ki Pooja Karne Wale 2. Khamosh Rehne Wale 3. Pooja Se Rokne Wale Maafi Ke Liye Hukm Hua Ke (1), (3) Ka Qatl Hare Kaha Jaata Hai Ke 70,000 Logo Ka Qatl Hua Bani Israel Ne Allah Ko Dekhne Ka Mutaalba(Demand) Kiya Wo Log Allah Ko Dekhne Ke Liye Pahad Par Gaye, Lekin Allah Ko Dekh Naa Paye Aur Mar Gaye. Allah Ne Phir Unko Zinda Kiya Ayah 56-Mann Aur Salwa Mann- Gondh Jaisi Cheez Salwa- Bird Hukm Tha Ke Taaza Khaye Lekin Un Logo Ne Hirs Se Bacha Kar Rakhna Shuru Kiya Jisse Beemaar Hue.(Baasi Khane Se)-Ye Unka Khud Par Zulm Tha Ayah 59-Yoosha Bin Noon Ke Saath Falasteen Me Waapsi Hittatun(Astaghfirullah) Kehte Hue Basti Me Dakhil Hone Ka Hukm Lekin Unlogo Ne Khel Tamashe Me Hintatun Kaha Is Gunah Ki Saza Me Unpar Plague Ka Azaab (Could Bhi Some Other Azaab Also) www.livequraneverymoment.org Page 4

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Ruku 7 Ayah (60-61) 12 Chasmo Ka Phootna Har Qabeele Ka Chasme Ke Size Ke Hisaab Se Apna Chashma Pehchaan Na Mann Salwa Ke Badle Khane Ke Liye Doosri Cheez Mangna Pyaz, Lehsan, Sabzi, Kakdi, Masoor Ugane Ka Hukm Jiske Liye Ek Jagah Basme Ka Bhi Hukm Nabiyo Ka Qatl Karna Zillat Aur Maskanat Ka Musallat Hona Bani Israel Par Yaane Baad Me Nasaara Ke Haatho Bahut Zulm Hua Inpar Few Examples-Alexander, Hitler, Russian Revolution Etc Ruku 8- (62-71) Apne Apne Waqt Par Jo Iman Laaye Aur Amal Kiye Nek Unko Duniya Me Na Koi Khauf Hoga Na Akharat Me Koi Gham Yahoodi, Nasara Aur Sabi Me Se Aakharat Ke Hisaab Se Wahi Kamyab Honge Jo Apne Waqt Par Apne Nabi Par Iman Laye, Muhammad S.A.W Ke Aane Ke Baad Koi Aur Deen Qubool Nahi Hoga Sabi-Inke Baare Me Ke Ye Kaun Hai Bahut Alag Alag Opinions Hai Ayah 63-64 Allah Ka Yahoodiyo Ke Sar Par Pahad Uthana Jab Unhone Taurat Par Iman Lane Se Inkar Kiya Ayah 65-66 Ashabe Sabt Ke Bare Me Hai Sabt Yane Saturday Ye Log Bani Israel Me Se Hi The Samadar Ke Kinare Rehte Allah Ne Inhe Hafte Ke Din Sirf Ibadat Me Mashghool Rehne Ka Hukm Diya, Business, Aur Duniyayi Koi Kaam Me Bhi Unhe Involve Nahi Hona Tha Saturday Wale Din Wo Log Machli Pakadne Ka Kaam Karte Unlogo Ne Ek Chaal Chali Ki Friday Ke Din Jaal Bicha Dete, Saturday Khud Ba Khud Machliya Jaal Me Phas Jaati, Sunday Jaal Nikal Lete Saza Ki Taur Par Unhe Bandar Banaya Gaya Lesson-Deen Me Tricks Aur Hila Saazi Gunah Hai. Ex-Zakat Se Bachne Maal Ko Bacho Me Taqseem Karna Ayah 67-71 Moosa A.S Ko Gaay Zubah Karne Ka Hukm Kyu Ke Gaay Muqaddas Nahi Hai, Balke Ek Allah Ki Ek Maqlooq Hai Bani Israel Ne Poori Koshish Ki Ke Is Cheez Ko Taal Diya Jaye Kyu Ke Wo Gaay Muqaddas Samajhte Aur Ye Bhi Poocha Ke Kahi Ye Mazaakh To Nahi (Mazaakh Jahalat Hai) Is Baat Ko Taalne Ke Liye Unlogo Nekayi Tarah Ke Sawal Karne Lage Jaise Gaay Kaisi Ho? Jawab-Na Boodhi Na Jawan, Darmyani Umr Rang Kaisa Ho? Jawab-Gehra Zard (Dark Yellow) Ab Bhi Confusion Hai Jawab-Na Hal Chalati Ho, Na Kheto Ko Pani Pilati Ho,Na Koi Aib Ya Daagh Uspar Holesson- Bekaar Ki Hujjat Galat Haiex-Murgi Pehle Aayi Ya Andamermaid Mili To Halal Hai Ya Haram Finally In Sha Allah Kaha, Aur Gaay Zubah Ki, Agar In Sha Allah Na Kehte To Wo Log Ye Kaam Kabhi Na Kar Paate www.livequraneverymoment.org Page 5

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Ruku 9 (Ayat 72-82) Ayah 72-73 Bani Israel Ke Ek Shaqs Ka Qatl Hona Ilzaam Ek Doosre Par Lagana Moosa A.S Ke Paas Faisle Ke Liye Ana Gaay Ka Zubah Kiya Hua Hissa Murde Ko Lagana Murde Ka Kuch Der Ke Liye Zinda Hona Aur Qatil Kaun Hai Batakar Faut Ho Jaana Lesson-Isi Tarah Insaan Marne Ke Baad Qayamat Ke Din Dobara Zinda Hoga Ayah 74 Is Ayat Me Dilo Ko Patharo Se Compare Kiya Gaya Hai Logo Ke Dil Pathar Ho Gaye Hai-Jisme Koi Khair Nahi Hai Kuch Patharo Se Paani Phoot Te Ha Dilo Me Khair Hoti Hai Kuch Shaq Hote Hai, Phir Paani Phoot Ta Hai Kuch Haadso Ke Baad Khair Nikalti Hai Kuch Allah Ke Khauf Se Gir Padte Hai-Allah Ke Dar Se Sajdah Karte Hai Ayah 75-78 Yahoodi Se Musalmano Ko Zyada Ummeed Thi Ke Wo Iman Layenge Kyu Ke Unke Paas Pehle Se Rasoolo Ki Talimaat Thi, Lekin Yaha Unka Haal Bayan Ho Raha Hai Unhone Taurat Me Tehreef Ki, Muhammad S.A.W Ki Baat Jo Taurat Me Hai Chipayi Jab Iman Walo Se Milte Hai, Jhooth Kehte Hai Ki Iman Laaye Jo Tauraat Ki Baatein Batate Hai Musalmano Ko, Unse Kehte Hai Ki Sach Batau Warna Hujjat Qayam Ho Jayegi Allah Ka Jawab Ke Musalmano Ko Batao Ya Nahi Allah Ko Sab Maloom Hai. Kuch Ahle Kitaab Ko Kitabo Ka Ilm Nahi Hai Aur Sirf Wo Gumaan Karte Hai.Ex-Ke Wo Jannati Hai, Chune Hue Hai, Best Hai Ayat 79-82 Allah Ke Kalaam Me Tehreef Karna Aur Kuch Baat Jo Allah Ki Taraf Se Nahi Hai, Use Allah Ki Taraf Se Hai Kehne Walo Ke Liye Halakat Hai Kuch Log Kehte Hai Ke Unhe Jahannum Ki Aag Nahi Chuyegi, Lekin Allah Ne Kisi Ke Saath Aisa Koi Wada Nahi Kiya Hai Jo Burayi Kare Unke Liye Aag Hai Aur Jo Iman Laye Aur Ache Amal Kiye Unke Liye Jannat Hai Ruku 10- Ayah 83-86 Bani Israel Se Ahad Ki Yaad Dihani(Taurat Me Aur Rasoolo Ke Zariye) Sirf Allah Ki Ibadat Karna Waldain, Ristedaar, Ghareeb Aur Miskeen Ke Saath Ehsaan Karna Namaz Qayam Karna Zakat Ada Karna Lekin Aksar Mukar Gaye Ayah 84 Bani Israel Ke 3 Qabeele The Banu Nadeer Banu Qainaqa Banu Quraiza Arabo Me Aws Aur Khazraj Ke Beech Dushmani Thi Bani Israel Ko Allah Ka Wada Tha Ke Ek Doosre Ka Qatl Nahi Karna Aur Naa Ke Ek Doosre Ko Gharo Se Aur Watan Se Nikalna Lekin Arabo Ki Ladai Ke Dawran Banu Quraiza Ne Aws Ka Saath Diya Aur Banu Nadeer Aur Banu Qainaqa Ne Qazraj Ka Aur Is Tarah Aapas Me Ek Doosre Ke Qilaf Hue, Qatl Kiye Aur Gharo Se Nikale Lekin Jab Qaidi Bankar Jaate To Bani Israel Apne Logo Ko Fidiya Dekar Chudaate www.livequraneverymoment.org Page 6

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Allah Ke Kuch Ehkam Par Amal Kiya Aur Kuch Ko Toda Aise Logo Ke Liye Duniya Aur Akhirat Me Ruswayi Hai Lesson- Alaah Ke Tamaam Ehkam Par Amal Karna Hai, Sirf Kuch Par Karna Durust Nai Ruku 11 (Ayah 87-96) Moosa A.S Ke Baadkayi Nabiyo Ka Aur Isa A.S Ka Aana (Roohul Quds-Jibrael A.S) Jab Koi Rasool Unko Pasand Naa Aate To Unka Inkar Karte Aur Kehte Ke Dil Ghilaf Me Hai, Aise Logo Par Laanat Hai Muhd Sa.W Ke Aane Se Pehle Wo Log Duae Karte Ke Aakhri Rasool Aye Aur Bani Israel Ki Dushmano Ke Qilaf Madad Kare Jab Aaye To Inkar Kiya Kyu Ke Wo Bani Ismael Me Se The Ghazab Ke Oopar Ghazab Hua-Duniya Me Logo Ne Unka Bahut Bura Haal Kiya Bani Israel Ka Aitaraaz Ke Ham Sirf Usi Par Iman Layenge Jo Bani Israel Me Aaya, To Jawaab Me Sawaal Ke Apne Nabiyo Ko Bhi Tum Logo Ne Kyu Jhutlaaya Unka Kehna Ke Wahi Jannat Me Jayenge, Jawab-To Maut Ki Tamanna Karo, Mar Jao Aur Jannat Me Chale Jao, Lekin Wo Aisa Nahi Karte Kyu Ke Unhe Maloom Hai Ke Kya Sahi Hai 1000 Saal Bhi Jeena Unka Unko Azab Se Nahi Bacha Payega Ruku 12 (Ayah 97-103) Bani Israel Isliye Jibrael A.S Ke Dushman The Kyu Ke Wo Wahi Bani Ismael (Muhammad S.A.W) Ke Paas Laye Jo 99-Khuli Ayatein-Quran Ayat 102 Is Ayat Me Suleman A.S Ka Zikr Hai Suleman A.S Ke Time Par Jadu Uruj Par Tha Suleman A.S Ne Jadu Qatm Karne Ke Liye Jadu Ki Kitabein Apne Taqt Ke Neeche Dafan Kardi Unke Inteqal Ke Baad Logo Ko Jab Wo Kitabein Mili, Unhone Suleman A.S Par Hi Ilzaam Lagaya Ki Itni Badi Saltanat Jadu Ke Dam Par Rrakhi Is Ayat Me Allah Ye Kbaat Keh Rahe Hai Ke Suleman A.S Jadu Nahi Karte Important Points Jadu Kufr Hai Jadu Haroot Aur Maroot Do Farishto Ne Sikhaya, Ye Allah Ki Taraf Se Azmayash Thi Koi Bjadu Bhi Allah Ke Izn Ke Bina Nahi Ho Sakta Hai Sabse Badtareen Jadu Miya Biwi Ke Beech Hai Ruku 13-(104-112) Ayah104 Rayina Yane- I Beg Your Pardon Bani Israel Muhammad S.Aw Ko Rayeeeeena Kehte-Yane Charwaha Ab Musalmano Ko Rayina Kehne Se Roka Jaa Raha Hai Lesson-Jo Cheez Se Fitna Ho Usse Ruk Jana Chahiye 105-Rehmat Naboowat Bani Israel Chahte Ke Naboowat Sirf Bani Israel Me Aaye Ayah 106-Ayato Ka Mansooq Hona Koi Hukm Cancel Hona, Ya Uski Jagah Naya Ana Bani Israel Ka Ispar Aitaraz Allah Ki Badshahat Hai Aur Wo Jo Chahe Kare Ayah 108-Sahaba Se Ke Moosa Ki Qaum Ki Tarah Sawal Na Karo (Gaay Wala Waqeya) www.livequraneverymoment.org Page 7

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Ayah 109-110 Bani Israel Musalmano Ko Kufr Par Pherna Chahte Hai,Wajah Hai Hasad Ke Bani Ismael Me Naboowat Aayi Unko Maaf Karo, Darguzar Karo Namaz Qayam Karo, Zakat Do Aur Jo Bhi Amal Karoge Use Qayamat Ke Din Paoge Ayah 111-Yahood Aur Nasara Ka Ke Wahi Sirf Jannat Me Jayenge Ye Unkisirf Arzu Hai, Daleel Lao Agar Sach Hai To Jannat Kiski Hogi Phir? Ayah 112- Jo Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd Karde Ruku 14- (Ayah 113-121) Yahood,Nasara Aur Ahke Kitab Sab Kehte Ki Ham Sahi Hai Lekin Faisa Qayamat Ke Din Hoga Sab Se Bada Zaalim Masajid Se Rokne Wale Hai (Masjide Haraam Ya Firqa Waari Ki Wajah Se) Mashriq Aur Maghrib Allah Ke Liye Hai, (Poori Zameen Aur Har Samt) Allah Ki Koi Aulaad Nahi Hai Balke Allah Asman Aur Zameen Ke Malik Hai, Paida Karne Wale Hai Aur Sab Allah Ki Itaat Me Hai Lailm Log (Ahle Makkah) Ka Mutaalba Ke Unhe Allah Dekhna Hai Ya Unke Paas Wahi Aaye Isi Tarah Moosa Ki Qaum Ne Bhi Kaha Tha(Kya Hashr Hua Unka) Yahood Aur Nasara Musalmano Se Tabhi Razi Honge Jab Unka Tareeka Follow Karnege, Lekin Hidayat Aane Ke Baad( Quran Aur Hadeeth) Jo Unko Follow Karega, Uska Koi Dost Ya Madadgar Nahi Hoga.(Splly Qayamat Ke Din) Kitab Ko Padhne Ke Saath Uska Haq Ada Karna Hai, Inkar Karne Wale Ke Liye Khasara Hai Quran Ka Haq Usko Padhna Samjhna Amal Karna Doosro Ko Batana Koi Taleem Iski Naa Chipana Ruku 15 (Ayat 122-129) Qayamat Ke Din Koi Kisi Ke Kaam Nahi Ayega, Na Fidiya Dekar Choot Sakte Hai, Na Sifarish Qubool Hogi Yahaa Se Ibraheem A.S Ka Zikr Ibraheem A.S Ko Kayi Azmayasho Ke Baad Imam Banaya Gaya Imam ( Yahood, Nasara, Ahlemakkah, Musalman Sab Unko Mante) Ibraheem A.S Ki Kuch Azmayashein Buth Parast Walid Walid Ka Khud Unhe Jalane Laakdiya Dhona Jila Watan Kayi Saal Tak Koi Aulaad Nahi Mushkil Se Hone Wali Aulad Aur Biwi Ko Sehra (Desert ) Me Chodne Ka Hukm Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Etc Ibraheem A.S Ne Fauri Apni Aulad Ki Imamat Ki Dua Ki Lekin Allah Ka Jawab Ke Jo Zalim Honge Unhe Nahi Milega Khane Kaaba Ko Ibadat Ki Jagah Banayi Gayi (Ye Adam A.S Ke Waqt Se Hai, Toofane Nooh Me Deewarein Gir Gayi) Dua Karte Hue Deewaro Ko Buland Kiya Gaya Ke Ye Kaam Qubool Ho, Unko Aur Unki Aulado Ko Musalmaan Banaya Jaye, Aur Unki Aulado Me Se Rasool Ho Jo Kitaab Aur Hikmat Janta Ho Aur Tazkiya Kare(Muhammad S.A.W Ka Aana Is Dua Ke Nateeje Me) Manasik- Ibadat Ke Aur Hajj Ke Tareeke-Jibrael A.S Ne Unhe Sikhaya www.livequraneverymoment.org Page 8

JUZ 1 Alif Laam Meem : Surah 2- Al Baqarah Ruku 16(Ayah 130-141) Jo Ibraheem A.S Ke Tareeke Se Hath Gaya Wo Halak Hua Ibraheem A.S Ka Tareeka Tauheed Har Aazmaayish Me Allah Ke Saamne Jhukna Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd Kardena Ibraheem A.S Ne Aur Yakoob A.S Ne Apne Beto Ko Musalman Hone Ki Aur Tawheed Ki Naseehat Ki Har Ummat Ko Sirf Apna Jawaab Dena Hai Yahood, Nasara, Ya Mushrik Ka Tareeka Hidayati Yafta Nahi Balke Ibraheem A.S Ka Tareeka Sahi Hai Iman Ka Hissa Tamaam Rasoolo Par Iman Laana Aur Nabiyo Me Farq Nahi Karna Hai Allah Ka Rang-(Dekh Kar Allah Ki Yaad Aye, Allah Ke Ehkam Par Chalne Wala), Yahi Best Rang Hai Allah Zyada Jante Hai Ki Pichle Nabiyo Ka Deen Kya Hai Zalim Log Wo Hai, Jinhone Allah Ki Gawahi Chipayi( Akhri Nabi Ki Batein) www.livequraneverymoment.org Page 9

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Juz 2 Sayqul : Surah 2 Al Baqarah Aage Aane Waali Kayi Aayato Me Qible Ki Tabdeeli Ka Hukum Hai. Jab Muhammad (S.A.W) Makkah Me The To Unki Khahish Thi Ki Qibla Khane Kaaba Ki Taraf Ho Naa Ki Baitul Maqdis Ki Taraf,To Wo Wahan Aise Namaz Padhte Ki Baitul Maqdis Ki Taraf Rukh To Karte Lekin Khana Kaaba Ki Taraf Bhi Rukh Ho, Lekin Hijrath Ke Baad Ye Mumkin Na Tha. Hijrath Ke 16 Mahine Baad Khane Kaaba Ki Taraf Rukh Karke Namaaz Padhne Ka Hukum Aaya. Baitul Maqdis:- Jagah Ka Naam Hai. (33 Acres Of Land) Masjid E Aqsa:- Ek Masjid Hai.(Baitul Maqdis Ka Ek Hissa Hai.) Ruku 17 Ayat 142-147(In Ayat Me Qible Ki Tabdeeli Ka Zikr Hai) Yahud, Munafiq Aur Mushrik Jinko Bewakoof Kaha Jaaraha Hai Musalmano Ko Kehte Ki Kyun Inka Qibla Change Hogaya?Har Taraf To Allah Hi Ka Hai,Hidayath Jisko Milti Hai Wo Allah Ke Hukum Ko Maanleta Hai Lekin Jisko Hidayath Nahi Milti Wo Ispe Hujjathbaazi Karta Hai. Ye Qibla Isliye Change Hua Kyunki Allah Tala Ne Yahudiyo Aur Nasarah Ko Bohot Saare Nematon Se Nawaza Aur Unko Logon Par Tarji Di Lekin Inlogon Ne Allah Taala Ki Nafarmani Ki Isliye Inlogo Se Ye Sharf Lekar Ummate Muhammadi(S.A.W) Ko Diya Aur Unku Ummate Wasath Banaya Gaya,Taake Aap(S.A.W) Ka Message Hum Aage Tak Pohchaayen(Gawaah Bane) Aur Rasool(S.A.W) Humare Gawah Bane. Qible Ka Change Hona Sabke Liye Bohot Badi Azmaish Thi Lekin Jinko Allah Ne Hidayath Di Unke Liye Mushkil Na Thi,Sahaba Akram Ko Ye Doubt Aaya Ki Kya Humara Pehle Baitul Maqdis Ki Taraf Rukh Karke Padhna Galat To Na Tha To Allah Farmate Hain Ki Galat Nahi Tha,Allah Taala Shafqath Aur Rehem Karne Waala Hai. Wasath:- 1. Central(Beech Waale). 2. Moderate.(Motadil) Aap (S.A.W) Asmaan Ki Taraf Baar Baar Palatkar Dekh Rahe The Ki Koi Wahi Aaye Aur Qibla Change Hone Ka Hukum Aaye Aur Qibla Khana Kaaba Hojaaye,Aur Hukum Aagaya Qibla Ki Tabdeeli Ka Aur Ahle Kitaab Ki Kitabo Me Bhi Iska Zikr Tha Ki Aakhri Nabi Jab Aayenge To Qibla Khana Kaaba Hoga. Ahle Kitab Aap(S.A.W) Ki Pairwi Nahi Karenge Kyunki Unko Zid Thi Ki Aakhri Nabi Bani Ismail Me Se Kyun Aaya Aur Bani Israel Me Se Kyun Nahi Aaya,Allah Taala Hukum Derahe Hain Aap(S.A.W) Ko Ki Aap Inki Baat Nahi Maanenge Aur Unke Qible Ki Taraf Nahi Paltenge Aur Inka Aapas Me Hi Ikhtelaaf Tha Qible Ko Lekar,Allah Yahan Warn Karrahe Hain Ki Agar Ahle Kitab Ki Baat Maani Wahi Aane Ke Baad To Zalimo Me Shumaar Honge. Ahle Kitab Ki Kitabo Me Aap(S.A.W) Ka Kasrath Se Zikr Tha,Ye Aap(S.A.W) Ko Apne Beton Ki Tarah Pehchante The Lekin Phir Bhi Inkar Kardiya,Lekin Unke Ulama Ne Haq(Aap(S.A.W) Quran Aur Qible Ka Change Hona) Ko Chipaya. Ye Haq Allah Ki Taraf Se Hai To Aap Isme Bilkul Shak Mat Kariye. Ruku 18 Ayat 148-152 Har Ek Ka Ek Side Hai, Yaani:- 1. Har Ek Giroh Ka Ek Side Hai Jaise Koi Church Me Ek Taraf Karke Ibadath Karta Hai Aur Koi Mandiron Me Ek Taraf Karke Ibadath Karta Hai Jaise Mushrikeen E Makkah Apne Buthon Ki Taraf Karke Ibadath Karte,Aap S.A.W.S Ko Kaha Jaaraha Hai Ki Aap Khana Kaaba Ki Taraf Palatkar Ibadath Kijiye. 2. Har Ek Ka Center Of Life Hota Hai Aur Ek Ambition Hota Hai, Musalman Ka Ambition: Neki Me Pehel Karna. Jahan Bhi Ho Safar Par Ya Ghar Par Apna Chehra Masjid E Haram Ki Taraf Pherne Ka Hukum Aagaya As A Qibla.Tumhara Center Of Life Kya Hai Aur Kis Taraf Rukh Karke Tum Ibadath Karte Ho Wo Allah Khoob Jaanta Hai. Jahan Bhi Ho Apna Chehra Masjid E Haram Ki Taraf Karlo Taake Logon Me Koi Doubt Na Rahe Koi Musalaman Kisi Taraf Rukh Karke Namaz Padhta Hai Aur Koi Kisi Taraf, Sab Musalmano Me www.livequraneverymoment.org Page 10

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Unity Honi Chahiye.Aur Zalim Log Baaten Banayenge Hi Banayenge To Unse Nahi Darna Hai Sirf Allah Se Darna Chahiye.Qible Ka Change Hona Ek Nemath Hai Musalmano Ke Liye. Rasool Ka Aana Bhi Ek Nemath Hai Jo Hume Quran Aur Hikmath(Sunnath) Ki Taleem Dete,Humara Tazkiya Karte Aur Isko Amal Kaise Karna Hai Khud Practically Batakar, Jo Tum Nahi Jaante The. Hikmath:-Right Time Pe Right Decision Lena. Agar Hum Chahte Hain Ki Allah Ka Rehem Humpar Barqaraar Rahe To Allah Ka Zikr Kabhi Bhi Nahi Bhulna Chahiye,Shukr Ada Karna Hai Aur Nashukri Nahi Karna Hai.Example:- Namaz,Quran Aur Har Kaam Karne Se Pehle Ye Sonchna Ki Allah Is Amal Se Humse Raazi Hoga Ya Naaraaz Ruku 19 Ayat 153-162 Sabr Aur Namaz Ke Zariye Madad Maangne Ko Kaha Jaaraha Hai.Sabr Karenge To Allah Saath Rahega. Sabr Ke Lafzi Mayne:- Nafs Par Kaabu Paana. Jo Allah Ke Deen Ko Establish Karne Apni Jaan Gawaate Hain Unko Murda Mat Kaho,Balke Wo Zinda Hain Aur Allah Taala Ne Unhe Bohot Sharf Waali Jagah Pe Rakha Hua Hai Isliye Unhe Murda Nahi Kehsakte Jiska Tumhe Shaoor Nahi Hai. Hadees:-Allah Ke Rasool(S.A.W) Farmate Hain Ki;Jo Shaheed Hote Hainunki Roohe Sabz Parindo Ki Shakal Me Allah Ke Arsh Ke Neeche Jo Qhadeele Hote Hain Uske Neeche Rakhi Jaati Hain Aur Wo Jab Chaahe Jannath Ki Sayr Karte Hain Aur Phir Wapis Un Qandeelo Me Aajaate Hain. Allah Taala Hamey Kayi Tarah Se Azmaayenge : Khauf Se, Bhook Se Maali Aur Nafson Ke Nuksaan Se, Aur Phalon Se(Kheti Or Result) Aur Jab Sabr Kare To Unke Liye Khushkhabri Hai. Sabr Karne Waalon Ke Sifaat:- Museebath Aane Par Kehte Ki Har Cheez Allah Ki Taraf Lautne Waali Hai. Allah Ki Nawazishen, Rehmaten Aur Hidayatiyafti Log Hain. Yahan Par Safa Aur Marwa Ka Zikr Hai.Inke Darmiyaan Sayee Ki Jaati Hai Aur Yeh Hajj Aur Umrah Ka Hissa Hai. 1. Daure Jahiliyath Me Safa Aur Marwa Ki Pahadiyon Par 2 Buth Rakhe Gaye The (Isaaf Aur Nayla)Makkah Me In Buthon Ko Log Maante Aur Inki Pooja Kate To Jab Log Imaan Lekar Aaye Aur Shirk Sae Bilkul Rokdiya Gaya To Shaba Akram Ko Ye Confusion Hua Ki Safa Marwa Ke Beech Chakkar Lagani Chahiye Ya Nahi Aur Agar Lagayenge To Kya Ye Shirk To Nahi Hoga. 2. Jo In Buthon Ko Maante The Wo Log Inki Ibadath Karte The Aur Jo Log Inko Chodke Manaath Ke Poojari The Wo Log Iske Beech Me Chakkar Nahi Lagate The Specially Jo Makkah Ke Baher Se Aate The. Yahan Ye Bataya Jaaraha Hai Ki Jo Safa Aur Marwa Ka Chakkar Lagata Hai Wo Buthon Ke Liye Nahi Balke Umrah Aur Hajj Ka Ek Hissa Hai,Isse Koi Gunah Nahi Hoga Ye Hazrath Hajira Ki Sunnath Hai Jo Ibrahim(A.S) Ki Time Se Chali Aarahi Hai.Ur Jab Wahan Jaakar Kisi Bhi Tarah Ki Neki Karo To Allah Qadardaan Hai. Allah Ki Kitab Me Jo Bayan Kiya Gaya Hai Usko Chupaate Hain To Unpar Allah Ki Aur Tamaam Logon Ki Laanath Hai. Kin Kinpar Laanath Nahi Hai Allah Ki:- 1. Jo Tauba Karte Hain. 2. Jinhone Islah Kiya. 3. Ilm Logon Me Baanta.(Logon Ko Bata Diya)To Allah Inpar Meherban Hoga. Ayat 161-162:-Wo Log Jo Allah Ki Ayat Ko Chupaya Ya Inkar Kiya Aur Kufr Ki Halath Me Margaye To Inpar Allah Ki Aur Farishto Ki Laanath Hogi,Aur Inse Jahannum Ka Azaab Na Kam Kiya Jayega Aur Na Hi Halka Kiya Jayega. Ruku 20 Ayat 163-167(In Ayat Me Allah Ko Pehchaanne Ka Zikr Hai) www.livequraneverymoment.org Page 11

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Allah Ek Hi Hai Aur Uske Siwa Koi Aur Supreme Authority Nahi Hai. Zameen Aur Asmaan Ki Paydaish, Raat Din Ka Aana Jaana, Kashtiyan Jo Samandar Me Chalti Hain Humare Faydo Ke Liye, Asmaan Se Barish Jisse Murda Zameen Ko Zinda Kiya Jisse Usme Payda Hue Jaandaar Aur Humare Liye Rizq, Hawaon Ka Chalna Ispe Gaur Karo Allah Ko Pehchano Aur Allah Ke Saamne Jhuk Jao. Kayi Log Apne Nafs Ko Apne Khahishath Ko Maante Hain Aur Mohabbat Karte Hain Jaise Allah Ko Maanna Aur Mohabbath Karna Chahiye Actually Me Imaan Ka Taqhaza Hai Ki Sabse Zyada Allah Ko Chahna Hai Aur Kaash Mushrik Jaante Ki Allah Ke Liye Hai Saari Quwwath Aur Allah Saqht Azaab Dene Waala Hai Jo Shirk Karte Hain. Jo Log Duniya Me Allah Ko Chodkar Jinke Peeche Bhaagte The Ye Samajhkar Ki Inko Ye Log Bachalenge Lekin Ye Log Apne Followers Se Bezar Honge Qayamath Ke Din Aur Tamam Azbaab Cut Jayenge. Qayamath Ke Din Followers Kahenge Ki Kaash Duniya Me Jaane Ka Ek Chance Milta To Hum Inse Bezar Hote Jis Tarah Ye Humse Aaj Bezar Horahe Hain Aur Allah Inke Amal Batayega Aur Ye Aag Me Honge. Ruku 21 Ayat 168-176. Allah Taala Logon Ko Halaal Aur Paak Khane Ka Hukum Derahe Hain, Aur Shaitaan Ki Pairwi Se Roka Jaaraha Hai. Har Qisam Ki Burayi Ka Shaitaan Humko Hukum Deta Hai,Sharaab Ka, Juew Ka, Geebath Ka, Logon Ko Nuksaan Pohchane Ks, Aur Behayayi Ka Aur Ye Hukum Deta Hai Ki Allah Ke Baare Me Aise Baaten Karo Jo Allah Ne Nahi Kahe, Yaani Aise Kaam Jo Allah Ne Humko Karne Deen Me Nahi Bole. Aaba O Ajdaad Ki Pairwi Karte Jab Ki Wo Hidayath Par Nahi Hai. Jo Insan Kufr Krta Hai Wo Ek Jaanwar Ki Tarah Hota Hai,Jo Sun To Sakta Hai Lekin Samajh Nahi Sakta, Amal Nahi Karta Aur Dekh Nahi Sakta Allah Ki Nishaniyaan.(Quran) Haq Na Sunsakte Na Bolsakte Aur Na Dekhsakte. Ayat 172-173 : In Ayato Me Allah Farmate Hain Ki Halaal Aur Paakeeza Cheezen Khao Aur Shukr Ada Karo. Haraam Cheezen :- Murdaar, (Behta)Khoon, Khinzeer Ka Gosht, Allah Ke Naam Ke Ilawa Kisi Aur Ke Naam Par Zubah Kiya Gaya Ye Sab Haraam Hain.Siwaye Unke Jinko Zabardasti Khilaya Gaya Jo Use Pasand Nahi Tha Ya Phir Majboori Me Khaaye To Inpar Koi Gunah Nahi Hai. Thode Paiso Ke Liye Allah Ke Kalaam Ko Chupana Uske Meanings Ko Change Kardena Inse Allah Kalaam Nahi Karega Aur Wo Paise Inke Peton Me Aag Ki Tarah Honge Qayamath Ke Din Aur Allah Inko Paak Nahi Karega Aur Inke Liye Dardnaak Azaab Hai. Jab Ki Inko Ye Pata Hai Ki Is Kaam Se Peton Me Aag Hogi To Kaise Ye Amal Kar Rahe Hain Kaise Sabr Karrahe Hain. Allah Taala Haq Nazil Karta Hai Lekin Ye Log Haq Se Bohot Door Chale Gaye Ikhtelaaf Ki Wajeh Se. Ruku 22 Ayat 177-182(In Ayat Me Waseeyath Aur Qatl Ka Zikr Hai) Jab Qibla Tabdeel Hua To Log Is Baare Me Itna Discussion Karrahe The Ki Dusri Cheezen Peeche Rehgaye The To Allah Taala Farmarahe Hain Neki Ye Nahi Hai Ki Qibla Change Hone Par Tum Qibla Rukh Hojao Balke Neki To Allah Par, Yaume Aakhirath Par, Farishton Par, Kitab Par, Aur Nabiyon Par Imaan Laaye Aur Allah Ki Raah Me Maal Kharch Karna Rishtedaron Par, Yateemo Par,Miskeeno Par Musafiro Par, Sawaal Karne Waalon Par, Ghulamo Ko Azaad Karne Waalon Par,Namaz Qayam Karna, Zakath Ada Karte Aur Ahed Ko Pooora Karte(First Allah Se Ahed Laa Ilaaha Illallah Aur Secondly Hum Jo Logo Ke Saath Waada Karte Hai)Tangdasti Me Sabr Karte,Takllef Me Aur Jang Ke Waqt Sabr Karne Waale Hain, Ye Log Apne Imaan Ka Sabuth Apne Amla Se Diya Darasal Muttaqi Log Hain. www.livequraneverymoment.org Page 12

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Yateem :- Wo Nabaligh Bacha Jiska Baap Faut Hogaya Ho. Qatil :- Jisne Qatl Kiya Maqtool:- Jo Maaragaya. Yahaan Par Qatl Ke Baare Me Aaya Hai.Qatil Ke Saath Maqtool Ke Relatives 3 Qisam Ka Maamla Karsakte Hain :- Qatl Ke Badle Qatl. Qatl Ke Badle Blood Money (Deeyath). Maaf Karsakte Hain. Qisaas :- Badla Lena. Hukum :- Azaad Badle Azaad Ke(Azaad Ke Badle Ghulam Ko Qatl Nahi Kiya Jaasakta) Ghulam Ke Badle Ghulam(Ghulam Mard Ho Ya Aurat) Aurat Badle Aurat Ke. Ya Agar Maaf Karde To Jitna Deeyath Fix Hua Hai Wo Ache Tareeqe Se Dena Hai Aur Ye Allah Ki Taraf Se Asaani Hai Aur Jo Deeyath Bhi Lele Aur Qatl Bhi Karde Qatil Ka Toh Usko Dardnaak Azaab Hoga. Ye Ayat Wasiyath Ke Baare Me Aayi Hai. Ye Wasiyath Ka Hukum Cancelled Hogaya Kyuni Allah Taala Ne Surah Nisa Me Batadiya Hai.Albatta 1/3 rd Maal Me Se Kiya Jaasakta Hai Jo Warison Ke Liye Nahi Hoga.Maal Ke Alawa Par Wasiyath Ki Jaasakti Hai. Jo Waseeyath Ko Badalna Chahta Hai Jab Ki Allah Ka Hukum Aagaya To Uske Liye Bohot Bada Gunah Hai. Agar Waseeyath Gunah(Gair Sharayi) Ke Kaam Karne Par Kiya Ho To Us Waqt Waseeyath Badal Di Jaasakti Hai,Usme Koi Harj Nahi Hai Allah Unpar Gafoor Ur Raheem Hai Jo Waseeyath Ko Sahi Tareeqe Se Badle. Ruku 23 Ayat 183-188 Rozon Ke Baare Me Aaya Hai Ki Roze Pehle Ke Logo Par Bhi Farz Tha Aur Rozo Ka Asal Maqsad Taqwa Ikhtiyaar Karna Hai.(2 nd Hijri 3 rd Or 5 th Farz According To Hadees) Ye Gine Chune Din (Yaani 29 Or 30 Days) Honge Jiske Agar Choot Jaaye To Inke Qhaza Poore Karna Hai, Mareez Ho Ya Musafir Ho.Agar Roza Na Rakh Sako To Ek Miskeen Ko Khana Khilana Hai, Aur Jo Roza Rakhne Ki Istetaat Rakhta Hai To Wo Roza Rakhe Na Ki Fidya Dekar Jaan Chudaale. Ramazan Ka Mahina Isliye Bhi Ehmiyath Rakhta Hai Kyunki Usme Quran Nazil Hui Jo Logo Ke Liye Hidayath Ka Zariya Hai Aur Usme Roshan Dalail Bhai Hain,Aur Ramzan Me Sabpar Roza Farz Hai. Pichli Ayat Mansooq Hokar Ye Ayat Aayi Hai Ki Jo Koi Mareez Ho Ya Musafir To Baad Me Apne Qhaza Roze Rakhle.Ye Allah Ki Taraf Se Rukhsati Hai Jo Allah Ne Hume Di Hai Aur Hume Ispar Bohot Shukr Ada Karna Hai. Allah Taala Ko Kisi Aur Mediator Ki Zaroorath Nahi Hai Wo Apne Bande Ki Pukar Ko Sunleta Hai Sirf Humare Pukarne Ki Der Hai. Roze Ki Halath Me Miya Biwi Ka Milna(Sexual Intercourse) Mana Hai Lekin Raat Ke Waqt Kiya Jaasakta Hai.Wo Ek Dusre Ke Liye Libaas Hai. Kyunki Rozo Par Poori Tarah Se Ye Clear Nahi Tha Ki Roze Ki Halath Me Rafas Karsakte Hain Ya Nahi To Kuch Sahaba Akram Isko Apne Oopar Haram Karliya Tha, Kuch Ne Isko Makrooh Samjh Liya Tha Aur Kuch Sabr Nahi Karsakte The Aur Apni Biwiyo Ke Paas Chale Jaate To Yahan Par Iska Zikr Hai, Ki Allah Taala Unpar Meherbaan Hue Aur Unhe Maaf Kardiya Yaani Raat Ke Waqt Rafas Karne Ki Ijazath Di. Yahan Allah Taala Talaash Karne Ko Kehte Hain: Isme 2 Mayne Aayenge 1. Biwi Ke Saath Rafas- Aulaad Ke Liye. 2. Allah Ne Jo Rukhsath Di Hai To Uska Sirf Biwi Ke Saath Sirf Rafas Karne Me Busy Nahi Hona Balke Laylatul Qadr Ko Bhi Talash Karna Hai.Khao Peeyo Jab Takke Asmaan Me Pehli Line Nazar Nahi Aati.(Fajr Se Pehle Tak) www.livequraneverymoment.org Page 13

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Aitekaaf Me Bhi Apni Biwi Ke Saath Sohbath Karna Mana Hai.Aitekaaf Sirf Masajid Me Hi Kiya Jaasakta Hai Jahan Par 5 Waqt Ki Namaz Bajamaath Padhayi Jaati Hai Na Ki Ghar Me Aaps Me Galat Tareeqon Se Yaani Rishwath Dekar,Sood Lekar Maal Mat Khao,Hakim Ko Maal Dekar Logon Ka Haq Maarna Bohot Bada Gunah Hai Ruku 24 Ayat 189-196 Chand Se Hamey Dino Aur Hajj Ka Pata Chalta Hai (Calendar Hai).Ahle Makkah Ke Yahan Riwaaj Tha Ki Hajj Me Kisi Kaam Se Ghar Aate To Pichle Darwaaze Se Aate Aur Isko Neki Samajhte The Lekin Allah Taala Is Amal Ko Galath Qaraar Dekar Farmate Hain Ki Isme Koi Neki Nahi Hai. Hajj Ke 3 Types Hai:- 1. Hajj E Tamatto:-Qurbani Lazmi,Makkah Se Baher Waalo Ke Liye 2. Hajj E Qiraan:-Qurbani Lazmi,Ek Hi Ehram Me Umrah+Hajj 3. Hajj E Ifraad:-Qurbani Nahi,Makkah Waalo Ke Liye. Hajj Ke Mahine:-Shawwal, Zilqada And Zilhajj. 8 Zilhajj Yamul Tarwiyah 9 th Zilhajj Yamul Arafah 10 th Zilhajj Yaumun Nahr 11,12,13 Zilhajj Ayyame Tashreeq Jang Ke Sharaith:- 1. Allah Ke Raste Me Karna Hai And Not For Territorial Expansion,Power Ke Liye Infact Allah Ka Kalma Buland Karne Ke Liye Karna Chahiye. 2. Jang Initiate Nahi Karo Lekin Jo Tum Se Lade Aur Deen Ke Dushman Hai Unse Lado. 3. Jang Me Zyadati Bhi Mat Karo.(Logo Ke Kaan Naak Kaatdiye Ya Dead Bodies Se Behurmati Karna) Maidan E Jang Me Kahin Bhi Kafir Ko Paao Wahan Par Qatl Kardo,Jis Tarah Ye Tumko Makkah Se Nikale The Usi Tarah Tum Inko Inke Gharo Se Nikaalo Aur Qatl Kardo Taake Fitna Na Rahe. Inlogo Ne Jo Fitne Waala Kaam Kiya Deen Ke Liye,Isliye Inke Saath Jang Karne Ka Hukum Diya Jaaraha Hai. Kuffar Se Momino Ko Masjid E Haram Me Nahi Ladne Ko Kaha Jaaraha Hai Lekin Agar Wo Ladne Aayen To Apna Defend Karna Hai. Phir Agar Wo Baaz Aajayen To Chod Do Jung Mat Karo. Jab Takke Fitna Na Khatam Ho (Unka Muslims Ko Darana, Dhamkaana)Unse Ladte Raho Jab Takke Allah Ke Liye Deen Khalis Na Hojaaye, Aur Zyadati Mat Karo. Hurmath Waale Mahine :-Ziqada, Zilhajj, Muharram, Rajjab:- Daure Jahiliyath Se Ab Tak Ye Hurmath Waale Mahine Hain Aur In Mahino Me Ladayi-Jhagda, Jung Karna Mana Hai.Agar Kuffar In Mahino Me Bhi Tumse Jhagda Kare To Chup Na Baitho Defend Karo. Ziqada And Zilhajj Me Log Hajj Ke Liye Nikalte The. Muharram And Rajjab Me Kasrath Se Umrah Kiya Jaata Tha. Yahan Jihad Ka Zikr Aaya Hai.Deen Establish Karne Ke Liye Maal Kharch Karna Pade To Kharch Karna Hai.Maal Kharch Karne Me Tum Itna Busy Mat Hojao Ki Jihad Aur Deen Ke Kaam Me Peeche Hojao Aur Agar Aisa Karoge To Nuksan Me Honge.Ehsan Ke Saath Do. Hajj Aur Umrah Allah Ke Liye Karo Aur Agar Kisi Wajeh Se Nahi Karpao To Ek Qurbani Dena Hai Aur Sar Tab Tak Nahi Mundwaana Hai Jab Tak Qurbani Na Hojaye.Agar Sar Nahi Mundwa Sakte To :- 1. 3 Roze Rehna Hai Ya 2. 6 Miskeeno Ko Khana Khilaana Hai.Ya 3.Fidya Ke Taur Par Ek Qurbani. Hajj E Tamatto Ke Baare Me Zikr Hai.Umrah Karne Ke Baad Ehraam Utaarkar Dubara Hajj Ka Ehram Baandhna Hai.Is Hajj Me Qurbani Laazim Hai.Agar Qurbani Na De Paaye To 3 Din Roza Rehna Hai Aur Ghar Lautne Ke Baad 7 Roze Rakhna Hai. www.livequraneverymoment.org Page 14

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Ruku 25 Ayat 197-210 Things Not Allowed During Hajj:- Rafas Nahi Karna. Koi Gunah Ke Kaam Nahi Karna. Jhagda Nahi Karna. Jo Bhi Karenge Allah Taala Usko Jaanta Hai.Hajj Ke Liye Zaroori Saamaan Le Liya Karo.Sabse Behar Saamaan Taqwa Hai, Aur Allah Se Daro. During Hajj Shopping Ya Business Karsakte Ho,Arafath Se Jab Muzdalifah Aao To Wahan Par Allah Ka Bahut Zikr Karo.Allah Ne Tumhe Raah Dikhayi Isse Pehle Tum Bhatke Hue The. Arafath Se Palto Aur Muzdailifah Aao To Allah Se Baqhshish Maango. Hajj Hone Ke Baad Mina Me Stay Ke Dauran Allah Ka Zikr Karo Na Ki Dusro Ka. Aur Jo Duniya Ke Liye Maangega Use Duniya Hi Milegi. Momin Log Allah Se Duniya Ke Saath Aqkhirath Ki Bhalayi Ki Dua Bhi Karte Hain Aur Aag Se Panah Maangte Hain. Jo Jitna Kamaya Use Utna Milega, Allah Se Dua Karna + Koshish Karna. Ayyaame Tashreeq :- Mina Me 2 Din Ya 3 Din Rehne Par Koi Gunah Nahi Hai Lekin Allah Ka Zikr Karte Rehna Chahiye. Duniya Me Baaz Logo Ki Baat Unki Seekh Humko Bohot Acha Lagta Hai Lekin Peeche Wo Saqht Jhagdalu Hota Hai Logo Ke Baare Me Bura Sonchta Hai.(Aqhnas Bin Shuraiq) Aqhnas Bin Shuraiq Jab Makkah Se Jaaraha Tha To Kheti, Jaanwaro Ko Maarte Hue Gaya. Aisa Shaqs Apni Ego Me Allah Ke Saamne Nahi Jhukta, Aiso Ke Liye Jahannum Hi Thikana Hai. Lekin Jo Allah Ki Raza Chahne Apne Nafs Ko Chod Deta Hai To Allah Aise Bando Ke Saath Acha Maamla Karte Hain. Momino Se Kaha Jaaraha Hai Ki Islam Me Poore Ke Poore Dakhil Hojao(Dheere Karne Ka Option Nahi Aur Shaitaan Ki Pairwi Nahi Karna Hai Kyunki Wo Dushman Hai. Agar Sab Kuch Jaanne Ke Bawajooddeen Par Challne Se Phisal Gaye To Allah Pakadne Waala Hai. Qayamath Ka Scene Bataya Jaaraha Hai Ki Aur Poocha Jaaraha Hai Ki ;Islam Me Dakhil Hone Ke Liye Tum Qayamath Ka Intezar Karrahe Ho Jis Din Faisla Hojayega Aur Sab Kaam Allah Ki Taraf Lautenge. Ruku 26 Ayah 211-215 Bani Israel Ko Nemat D Gayi, Lekin Wo Qadr Nahi Kiya, Allah Ka Azaab Aaya Kaafiro Ke Liye Duniya Ki Zindago Khoobsoorat Hai Aur Wo Log Iman Walo Ka Mazaaq Udaate Hai Lekin Qayamat Ke Din Taqwa Walo Ka Mukaam Oopar Hoga Pehle Sab Ek Hi Ummat The Yaane Sab Nabi Ek Hi Deen Lekar Aaye, Ek Hi Allah Ki Ibadat Ka Hukm Diye Lekin Logo Ne Apna Apna Deen Alag Karliya Ahle Kitaab Ne Haq Jaan Ne Ke Baad Ikhtilaaf Kiya Zidd Ki Wajah Se (Ke Aakhri Nabi Bani Israel Me Se Nahi The) Lekin Iman Wale Hidayat Paa Gaye Jannat Ko Paana Itna Asaan Nahi Hai, Pichle Imaan Walo Ko Bhi Bahut Saqtiyo Ka Saamna Karna Pada Sahaba Poochrahe Hai Ke Kya Kuch Wo Kharch Kare, Jawab Hai Ki Jo Bhi Bhalayi (Maal Ya Uske Alawa Kuch Bhi) Kharch Karo Wo Waldain, Kharabad Daar, Yateem, Miskeen Aur Musafir Par Kharch Karo Ayah 216-Ye Madani Soorat Hai, Yaha Par Jang Karna Farz Kardiya Gaya, Sahaba Makkah Me Jang Karna Chahte Kyu Ke Waha Zulm Hota, Lekin Madina Me Aman Me The, To Nahi Chahte Ke Jang Ho Lekin Yaha Kaha Jaa Raha Hai Ke Jang Karo Kyu Ke Khaane Kaaba Ko Shirk Se Paak Karna Tha Ruku 27 - Ayah 217-221 www.livequraneverymoment.org Page 15

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Ayah 217-218 In Ayato Me Masjide Haram Me Jang Ke Baare Me Sawal Ho Raha Hia Ki Waha Kaise Jang Karenge (Kyu Ke Wo Aman Wali Jagah Hai), Lekin Jo Waha Hua Hai Wo Jang Se Bhi Badi Baat Hui Hai Allah Ke Raste Se Rokna Aur Masjide Haram Me Kufr Karna Waha Ke Rehne Walo Ko (Muhammad S.A.W Aur Sahaba) Ko Waha Se Nikalna Fitna (Aise Halaat Payda Karna Ke Musalmano Ko Iman Par Rehna Mushkil Hogaya Tha) Isliye Ab Jang Karna Zaroori Hai, Warna Wo Deen Se Logo Ko Pher Denge Jo Deen Se Phir Gaya Aur Isi Kufr Ki Halat Me Mar Gaya To Uske Liye Jahannum Hai Allah Ki Rehmat Milne Wale Log Jo Iman Laye Jo Hijrat Aur Jihaad Kiye (Sirf Allah Ke Raste Me) Ayah 219 Sharaab Aur Juwa Bazaher Lagta Hai Fayde Hai Duniya Ke Lekin Inme Bahut Bada Gunaah Hai (Ye Haram Hai) Sawal Sahaba Ka Ke Kya Kuch Kharch Kare? Jawab Hai Ke Zaroorat Se Zyada Jo Hai Wo Kharch Kare(Ye Maximum Limit Hai Kharch Karne Ki, Compulsory Nahi Hai) Ayah 220 Yateemo Ke Baare Me Sahaba Bahut Darte The To Unke Baare Me Kaisa Mamla Kare, Unke Maal Ko Bilkul Alag Rakhte The Ke Kahi Kuch Pakad Na Ho, I To Jawaab Hai Ke Unke Saath Acha Maamla Karo, Aur Unke Mamle Me Islah Ki Neeyat Rakho, Unke Khane Peene Ko Apne Saath Mila Lene Me Koi Harj Nahi, Allah Sabke Neeyato Ko Jante Hai, Agar Bilkul Alag Rakhoge Sabkuch Ya Aisa Alag Rakhne Ka Koi Hukm Aaye To Mushkil Ho Jayegi Ayah 221 Mushrik Aurat Se Nikah Haram Hai Yaha Tak Ke Wo Iman Laaye Mushrik Mard Se Bhi Apni Betiyo Ka Nikah Karna Haram Hai Ghareeb Momin Se Nikah Behtar Hai Musrik Se Karne Se Kyu Ke Mushrik Ka Saath Aag Ki Taraf Bulana Hai Ruku 28 Ayah 222 228 Ayah 222 Haizah Ke Bare Me Sawaal (Aurat Jo Menses Me Ho Haiz Ek Aurat Ke Liye Takleef Hai Haiz Me Sexual Intercourse Mana Hai (Fondling Aur Baaki Doosre Cheezein Miya Biwi Ke Beech Allowed Hai) Khoon Band Hone Ke Baad, Jab Aurat Ghusul Karle, Uske Baad Miya Biwi Me Jamaa( Sexual Intercourse) Jayaz Ho Jaat Hai Sex Sirf Vagina Se Jayaz Hai, Aur Yahi Paak Tareeka Hai- Anal Sex Haram Hai Ayah 223 Aurtein Mardo Ke Liye Kheti Hai Qeemti Cheez Hai Khet Ki Tarah.Khet Ko Abaad Rakha Jaata Hai Ye Nahi Ke Nikah Kar Ke Shauhar Ghafil Na Ho Aur Bewi Ko Lawaris Na Chod De...Kheti Ki Nigrani Ki Jaati Hai Jaise Shauhar Bewi Ki Hifazat Karta Hay..Khait Mein Jakar Insaan Khush Hota Hay To Shauhar Ke Liye Biwi Khushi Ka Sabab Hai. Kheti Ek Milkiat Hoti Hay To Shauhar Ke Liye Bewi Bhi Khaas Hoti Hai..Khet Se Phal Lena Hota Hay Issitarah Bewi Aulaad Deti Hay Ayah 224-225 Allah Ke Naam Par Ki Qasmenaa Kaho Ke Apni Jhooti Baat Ko Sach Saabit Karo www.livequraneverymoment.org Page 16

JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Jhooti Qasmo Ki Pakad Hai Ayah 226 Is Ayat Me Eela Ka Zikr Hai Eela Yaane Shohar Shohar Ka Biwi Se Gussa Hona Aur Usko Muallaqa Chod Dena Taake Na Wo Shadi Shuda Ho Aur Naa Talaq Shuda Is Tarah 4 Mahine Se Zyada Koi Apni Biwi Ko Nahi Chod Sakta Hai Aurat Ko Yaa To Talaaq De De Yaa Ruju Karle, Is Tarah Chodna Jayaz Nahi Ruku 29 & 30 (Ayat 229-242)Yaha Se Aage Ki Aayatein Talaq Ke Bare Me Hai Talaaq Ka Sahi Tareeka Sirf Halate Tohr Me 1 Waqt Me 1 Talaq Iddat Biwi Shohar Ke Ghar Me Iddat Ke Dauran Shohar Ko Ruju Ka Haq Agar Iddat Ke Dauran Ruju To Naye Nikah Ki Zaroorat Nahi (Lekin Zindagi Bhar Is Talaq Ka Shumar) Agar Iddat Ke Dauran Ruju Nahi To Aurat Azaad (Mazeed Doosri Aur Teesri Talaaq Ki Zaroorat Nahi) Agar Iddat Ke Baad Ruju Karna Chaho To Naya Nikah Aur Naya Mehar (Ye 3 Talaq Ke Baad Mumkin Nahi) Teesre Talaq Ke Baad Wahi Mard Se Nikah Jayaz Nahi Yaha Tak Ke Halaalah Haraam Khula Aurat Ki Taraf Se Talaq Ki Maang Kuch Maal Ka Chodna Ya Wapas Dena Shohar Ko Ruju Ka Haq Nahi Iddat Talaaqi Yaafta- 3 Haiz Bewa-4 Mahine 10 Din Khula-1 Mahina Hamela -Till Delivery Jisko Haiz Naa Ata Ho-Mahino Ka Hisaab Kuch Aur Important Points Bache Ko Doodh Pilane Wali Maa Bache Ko Doosh Pilane Ki Muddat 2 Saal Is Dauran Talaaq Ho Jaye To Bache Ke Walid Par Doodh Pilane Wali Maa Ke Khane Aur Kapde Ki Zimmedari Agar Walid Faut Ho Jaye To Waris Par Doodh Pilane Wali Maa Ka Kharch Agar Walid Aur Waldah Apsi Razamandi Se Kisi Aur Se Doodh Pilwana Chaho To Kar Sakte Hai Bewa Ko Iddat Ke Dauran Payghaame Nikah Nahi Bhej Sakte Hai Lekin Isharatan Izhaar Kar Sakte Hai Nikah Ke Baad, Ruksati Se Pehle Talaq Ho Jaye To Aadha Mehar Dena Hai Ayah 227-Salatul Wusta Yaane Asr Ki Namaz Ki Hifazat Karo Aur Khauf Ke Waqt Nhi Namaz Na Chodo Ruku 31-32 Ayah 243-252 In Ayaat Me Bani Israel Ke Sumoel Nabi Ke Waqt Ka Waqeya Hai Amaleqa Ki Qaum Ne Unpar Zulm Kiya Aur Gharo Se Nikala Unko Jang Karne Ka Hukm Hua Aur Maal Se Bhi Madad Karne Ka Unlogo Ne Jang Ke Liye Sipa Salaar Muqarrar Karne Ko Kaha www.livequraneverymoment.org Page 17

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 2- Sayqul :Surah 2 -Al Baqarah Allah Ki Taraf Se Taloot Ko Sipe Salaar Chuna Gaya Kyu Ke Wo Ilm Wale Aur Taqatwar The Ye Hukm Allah Ki Taraf Se Hai Uski Nishani Ye Thi Ki Taboot Unke Paas Wapas Aajayega Taboot Ek Box Tha Banisirael Ka Jisme Moosa A.S Ki Asa, Mann Ki Bottle Aur Taurat Ki Takhtiyaa Thi, Amaleqa Bani Israel Se Lekar Chale Gaye The. Amaleqa Ki Qaum Par Beemariya Aane Lagi To Is Taboot Ko Wo Log Manhoos Samjhe, Bayl Gaadi Par Rakh Kar Rawana Kar Diya To Farishto Ki Nigraani Me Wo Bani Israel Ke Paas Wapas Aagaya Jab Taloot Ke Saath Wo Jung Ke Liye Nikle To Unko Aaste Me Ek Nehar Se Azmaya Gaya, Ke Nehar Ka Paani Sirf Chullu Bhar Piyenge Zyada Nahi Bahut Saare Log Aazmayash Me Kaamyaab Na Hue Kaamyaab Hone Wale Hi Aage Chale Jo Apne Kam Log Hone Ki Wajah Se Darr Rahe The, Lekin Kuch Ne Himmat Dilayi Ke Allah Saath Denge, Pehle Bhi Kam Log Allah Ki Madad Se Kamyaab Hue Hai Aur Allah Sabr Karne Walo Ka Saath Dete Hai Unki Dua ٱ ٢٥٠ ٱ م ٱ أ ا و و غ أ ر Dawood A.S Unhi Me Se The (Jihad Karne Wale Momino Me Se), Unhone Jaloot Ka (Amaleqa Ka Sipe Salar) Qatl Kiyaaur Is Tarah Zameen Us Waqt Fasaad Se Paak Hui Ye Waqeya Allah Taala Jibrael A.S Ke Zariye Muhammad S.A.W Tak Pahunchaye Hai Ky Ke Aap Rasool Hai www.livequraneverymoment.org Page 18

JUZ 3- Tilkar rasool : Surah 2- Al Baqarah Surah Baqarah Ayah 253-286 Ruku 33- Ayat 253 (cont) (Is ruku me yeh bataya ja raha ke allah ne baaz rasool ko baaz pe fazilath di, par hame sab pe iman laana hai) Pichli Aayeton Me Kayi Rasoolo Ka Zikr Aur Muhammad Saw Rasoolo Me Se Hai Bahut Saare Rasool Aaye Hai Par Allah Ne Baaz Ko Baaz Cheezo Pe Fazilath Di, Musa As Aur Muhammasd Saw Se Baath Ki, Ibrahim As Ko Khaleelullah Kaha Muhammad Saw-Darajaath Buland Kiye Tamaam Insaniyath Aur Jinn Ke Liye Bheje Gaye Jab Ke Doosre Ambiya Ek Basthi Ke Liye Bheje Gaye The Meeraj Ki Raath Tamaam Anbiya Ki Imamath Masjide Aqsa Me Meeraj Ki Raath Allah Swt Se Baath Ki Pardey Ke Peeche Maqaam E Mahmoodah Me Muhammad Saw Ko Shifaath Ki Ijazath Di Jayegi Aap Saw Ke Agle Pichle Gunah Maaf Shifaath E Kubra Hasil Hoga Qayamath Ke Din Isa As Ko Maujozaath Diye Jhule Me Baath Ki Ke Main Allah Ka Banda Hoon Aur Muje Kitab Di Gayi Aur Apni Maa Ka Izlam Door Kiya Bimaar /Kodi Pe Haath Pherthe Toh Who Teekh Ho Jaatha Mithi Ke Parinde Me Phoonk Maarte Toh Who Zinda Ho Jaatha Murde Ko Zinda Karte Who Batate Ke Log Kya Khakar Aaye Par Iska Mathlab Ye Nahi Ke Apne Rasool Ko Fauqiyath Dena Ya Kisi Ek Rasool Ko Manna Aur Rest Ko Reject Karna Jaise Bani Israel Musa As Ko Maanthe Par Doosro Ko Reject Karthe Iman Ka Pillar Hai Ke Hame Saare Rasoolo Pe Iman Laana Hai Aur Ek Doosre Me Farq Nahi Karna Hai. Agar Hum Farq Karenge Toh Iman Ke Daayre Se Nikal Jayenge. Hadeeth : Muhammad saw ne farmaya, Muje kisi paigambar pe fazilath na do. Kisi paigambar ko kisi doosre par fazilath na do hatta ke yunus bin matta par bhi nahi. (bukhari). Par Rasoolo Ki Ummaton Ne Ikhtelaf Kiya Allah Swt Chahthe Toh Who Na Ladthe,Par yeh hamare liye test hai aur Allah Ne Hame Free Choice Di Hai. Allah Swt Chahthe Hai Ke Hum Apne Ikhtiar Se Sahi Kaam Kare Ruku 34- Ayat 254-257 (Is ruku me maal kharch karne ka hukm aur allah ka taruf aytal kursi hai ) Ayath 254-Maal Jo Allah Swt Ne Diya Use Allah Ke Ehkamaath Ke Mutabiq Kharch Karna Hai Qayamath Se Pehle Jab Na Khareedo Farod,Na Gehri Dosti, Na Sifarish Kaam Ayegi Kyunke Us Din Insan Koi Bhi Cheez Deke Allah Ki Azaab Se Nahi Bach Saktha. Sab ka Aamal Dekha Jayega Ayath 255-Aytal Kursi Sabse Azeem Aur Afzal Ayath Of Quran, ayaton ki sardar. Allah Ka Taroof Allah Ke Sivay Koi Ilah Nahi Ilah-Supreme Authority-Who Muqaam Jo Kisi Aur Ko Nahi Diya Jaa Saktha. Sirf Aur Sirf Allah Ke Liye Hamesha Zinda Hai (Hayyul) Hamesha Qayam Rehnewala Hai (Qayyum-Bagair Kisi Madath Ke Aur Sahare Ke Khud Ko Aur Doosro Ko Qayam Rakhna) Usko Na Neendh Na Oong Aathi Hai Aasaman O Zameen Sab Kuch Usi Ka Hai www.livequraneverymoment.org Page 19

JUZ 3- Tilkar rasool : Surah 2- Al Baqarah Sifarish Sirf Uski Ijazath Se Hogi Past And Future Ka Ilm Rakhnewala, Hame Sirf Wohi Ilm Jo Usne Diya Kursi Mutashabihath Aayath-Sirf Allah Ko Uska Ilm, Not Clearly Explained. Different Interpretations Allah Ki Kursi Allah Swt Ki Qadam Rakhne Ki Jagah Aasaman Aur Zameen Ki Hifazath Nahi Thakathi (Nuqsan Se Bachana, Monitor Karna,Control Karna) Buland Aur Bada Hai Ayath 256 Deen Me Daakhil Hone Ke Liye, Islam Laane Ke Liye Koi Jabar Nahi, Hame Sirf Islam Ka Paigham Pahuchana Hai. Lekin Islam Me Aane Ke Baad Aapko Apni Zindagi Islami Shariath Ke Mutabiq Guzaarna Hai. Insan Ko Free Will Di Gayi Ke Who Chose Kare Hidayath Ya Gumrahi Jo Clear Hai Kaayanath Ki Nishaniyon Se, Rasoolo Ke Zariye, Kitabo Ke Zariye, Aur Aap Saw Ki Sunnath Ke Zariye. Jisne Iman Laaya,Inkaar Kiya Taghoot Ka Usne Mazboot Kada Allah Ko Thaam Liya Taghoot Har Who False Quwath Jiski Insan Ibadath Kartha Hai Allah Ke Ilawa, Jiska Hukm Maantha Hai, Jo Allah Ke Hukm Ke Against Hukm Detha Hai Aur Jo Bandagi Ki Hadd Se Baahar Nikal Jaatha Hai Eg-Suraj, Chand, Peer, Faqeer, Nafs, Buzurgh, Shaitan Iman Walo Ka Dost Allah Hai Jo Tamaam Buraiyo Ke Andheron Se Jaise Gumrahi, Kufr, Jahaalath, Nifaq, Fisq, Lailmi Se Islam Ki Noor Ki Taraf Le Aatha Hai. Noor Ek Hai Islam Isliye Mufrad Aur Andhere Bahut Se Hai.Iliye Jama Kafir Ka Dost Taghoot Nikal Le Jaatha Hai Noor Se Andhero Ki Taraf kyunke insan fithrathi noor me hotha hai-ek hi allah ko maanne wala. Ruku 35- Ayat 257-260 (Is Aayath Me Bataya Gaya Hai Ke Allah Swt Har Cheez Pe Qadir Hai, Ibrahim As Aur Doosre Waqiyo Se) Isme Iraq Ke Baadshah, Namrod Ki Hujjath, Ibrahim As Se, Uska Zikr Namrod Ko Allah Ne Thodi Si Hukumath Di, Toh Who Apne Aap Ko Khuda Samajh Baita. Jab Ibrahim As Ne Kaha Allah Swt Zinda Kartha Hai Aur Mauth Detha Hai,Toh Namrod Ne Kaha Main Zinda Karta Hoon Aur Mauth Detha Hoon Aur Do Qaidiyon Ko Bulaya-Ek Ko Baqsh Diya Aur Doosre Ko Qatl Kar Diya.Phir Kaha Ki Who Zindagi Aur Mauth Ka Maalik Hai. Jab Ibrahim As Ne Kaha Allah Le Aatha Hai Surah Ko Mashriq Se Tum Le Aao Maghrib Se Toh Namrod Hairan Rehgaya. Allah Swt Har Cheez Pe Qadir (Murde Ko Zinda Karne Me Bhi) Waqia Ek Shaks Ka (Quran Aur Hadeeth Me Wazahath Nahi,Riwayaton Me Uzair As, Hizkeel Nabi Ya Bani Israel Ka Ek Shaqs) Jo Ek Basthi Se Guzara Jo Veeran Padi Hui Thi. Usne Kaha Allah Swt Kaise Zinda Karega isko Marne Ke Baad, Toh Allah Swt Ne Usko Maar Diya Aur Woh 100 Saal Tak Aisa Raha. Jab Zinda Kiya,Toh Usko Poocha Ke Woh Kitna Arsa Aisa Raha. Usne Kaha Ek Din Ya Din Ka Ek Hissa. Isse Patha Chaltha Hai Ke Marne Ke Baad Hame Waqth Ka Patha Nahi Hoga. Uska Khaana Aur Peena Kharab Na Hua Par Uska Gadha Decompose Ho Gaya. Phir Allah Ne Gadhe Ko Zinda Kiya, Hadiyon Ko Jhod Ke Aur Uspe Gosh Chadake Aur Prove Kiya Ke Allah Sab Cheez Pe Qadir Hai Ibrahim As Ka Waqia Ibrahim As Ne Allah Se Poocha Ke Kaise Murdo Ko Zinda Karega Taake Mutmain Ho Jaye Dil. Ambiya Ko Allah Mushahada Karwaate Hai Taake Woh Aam Logon Ko Baakhabar Kar sakein Aur www.livequraneverymoment.org Page 20