SURAH BAQARAH NQDG10
OF SURAH BAQARAH
INTRODUCTION BY PICTURE
RUKU #1 1 Harof e Muqatiat ko tord k parho jaisa kay Hazrat Mohammad(s.a.w) nay parha In haroof ka matlab jan'ne ki koshish na kerna or na Allah ne in kay meaning batain hain 2 3 4 6 Is kitaab se hadayat lo taa k mutaqeen main shamil hon Mutaqeen banne kai liey ghaib per iman lao,namaz qaim karo or Allah k diey hoey rizk se kharch karo Quran,pehli asmani kitaboon or akhraat per iman lao Is kitaab mai shak na karo Un logon k liey ghamgeen na hon jo iman nahi laatay
10 RUKU #2 Quran k baray main shak main na paro 11 Zameen main fasad na karo 13 15 Apna imaan sahaba ikraam ke tarah mazboot karo jis ke misal Allah Quran main detay hain Imaan lanay walon ko bewqoof mat samjo Itne sarkish na ho jain ke Allah dheel deta jaey 16 Hadayat ke badlay gumrahi ka soda na karo 20 Allah ki qudrat pe yakeen rakho 5
21 22 23 25 & 26 27 Allah ke ibadat karo jisnay paida kiya ta ke dozakh se bach jao RUKU #3 Imaan lao or naik kaam karo take namatoon wali janat mil sakay Allah kay sath ehad ko nabao werna khasara panay waloon main ho jao gay Allah ke muqablay main dusroon ko ma bood na banao Is kalaam mai shak na karo kion k aisa kalaam Allah ke siwa koi nahi bana sakta Allah ki haqeer misal se gumrah ho ker faskeen mai shamal na ho jana 6
RUKU #4 30 31 32 34 35 36 Is baat per yakeen rakho jo Allah janta hai wo hum nahi jantay Ilm hasil karo.deen or dunya do ka ilm zaroori hai Is baat per yakeen rakho k Allah ilm ke sath hikmaat ka bhi malik hai Allah ki jaiz naimatoon ka istamaal karo Is baat per yakeen rakho k Shitaan insaan ka khula dushman hai Don t Allah ka kehna na maan ker or gharoor ker ke shaitaan ki tarah kafroon main shamil na ho jao Jis cheez se Allah ne mana kia hai us se baaz raho 7
37 RUKU #4 Ghalat kaam per Allah se touba kar or touba ki pehli shart sharmindagi hai 38 39 Allah ke ahkamat ki pairwi karo tu na kabhi khaufzada or ghamgheen na hon Allah ko dhooka nahi dain warna munafiqoon main shumar hon gay jin ke liey azabe aleem hai Allah ke sath kufar or takzeeb na karo warna jahanam thikana ho ga 8
RUKU #5 40 41 & 42 43 44 Allah ke ahsaon ko yaad rakho,us ke ahkamat ko pura karo or Allah se daro Quran per iman lao jo pehli kitabon ki be tasdeek karta hai Namaz qaim karo or zaqat do or ajzee ikhtiar karo Is kitaab ko loogon se na chupaoo ya rad o badal na karoo Jis deen ke logon ko tableeg karo tu khud be us par amal karo 9
45 46 RUKU #5 Sabar or namaz se madad lo or Allah se dernay waloon ko namaz mushkil nahi lagti Is baat ko yaad rakho ke Allah se mulakat ho gi or usi ki taraf lot ker jana hai 10
RUKU #6 47 Is baat ko yaad rakho k Allah ne bohat se naimatoon se nawaza hai or tamam dunyia waloon per fokiat de hai 48 52 Qiyamat ke din ko yaad rakho, us din sirf apne amal kam ain gay Allah toubha kernae per maaf kerta hai taa ke insaan sukarguzar ban sakain Sifarish per ass na lagao kunki us din kisi se koi mawza,madad ya sifarish nahi lee jaey ge 53 Is baat ko yaad rakho k Allah ne jitni kitabain bhaijee wo loogon ki hadayat or rehnamayi k liey hain 11
RUKU #6 54 57 59 Jaisay he gunah ka ehsaas ho jaey tu foran touba karain. Beshak wo touba kabool farmanay wala hai insaan ko naimaitain mile tu is per ikhtiari sabar kerna chahiae Allah ke hukam adooli na karo warna Allah ki pakar ati hai 12
RUKU #7 60 Allah ka shuker ada kartay hoey uska diya hoa rizq khao Zameen main fisaad mat philao 61 Jo naimat Allah nay atta ke hai uska shukar ada karo and qanaat pasand ba Bay sabray pan or dunia daari say bacho 13
62 63 64 66& 67 RUKU #8 Imaan lao Allah pay or akhrat k din par or naik amal karo ta k falah pa jao Allah ke attayat he hamain aag say bacha sakti hai Allah saza dainay pay be kadir hai, pichli aqwaam k azabo say sabaq lo or unke ghaltiyan na dohrao Ehad baandh kar torna nahi Allah ke rehmat say mayoos na hona Allah ko dhoka denay walay kaam nahi karo wo tu dilo k baid say waqif hai 68 Jab Allah ka hukam a jaey tu maan lo, hujjat mat karo, jahilo say bat kartay waqt Allah ke panah mango 14
RUKU #8 69 71 Allah ka hukam a janay kay bad sawal pay sawal nahi karnay kion kay jitnay ziyada sawal hotay jain gay utna he hukam sakht ata jaey ga Bila waja tajjasus Allah k ghazab ko dawat dainay kay mutradif hai is liey ziyda sawal jawab na karo 15
72 73 & 74 75 77 79 RUKU #9 Mout kay bad zindagi bar haq hai. Is liey dunia main aisi zondagi guzaro k agay jawab dahi main asani ho Dunia main jaga jaga Allah nay aqalmando k liey nishaniyan rakhi hain, is liey un nishaniyon pay ghour karo Allah sab zahri or poshida batoon ko janta hai.is liey khabardar raho Kitna be apnay gunaho ko chupa lo, Allah zahir karnay wala hai is liey ruswayi say bachna hai tu gunaho say bacho Dil pay sakhti na anay do. Musalsal nafarmani say dil sakht ho jatay hain Hamainn apney matlab ka Islam na lo bulkay Allah k har hukam ko ma. Dunia kamanay k liey mazhab ke aard mat lo 16
RUKU #10 83 84 85 86 Allah k siwa kisi ke abadat na karo.waldain k sath husne salook karo.namaz qaim karo,zakat do, yateem,maskeen or qarabat daron k sath achi bat karo Katal mat karo. Or apne hum wat ko watan say mat nikalo Allah kay har hukam ko manana hai, yea nahi kay aik hukam maan liya or dosra jutla diya Yahood o nisara ke tarah Allah say ehad kar k mukro mat Sirf dikhaway k liey naiki nahi karni. Naiki tu wo hai jo khalis Allah k liey kee jaey Akhrat k mukablay main dunia ke zindagi ko tarjeeh na do werna Allah ke pakar aey ge 17
RUKU #11 87 91 92 93 & 94 Allah nay apnay nabiyon k zariey jo paigam hum tak pohanchaya hai us pay amal karo Apne apne bachray ko pehcha k dunia ke kon c mohabbat main hum anday banay hoey hain Apni akhrat ko har waqt yad rakho kion k akhir kaar hamain usi ke taraf lout k jana hai Takabur nahi krna or Allah k hukmon ko manna hai Allah kay sath kiey hoey ehad ko tordo mat jaisa k yahoodio nay kiya tha jab toor pahar unk sar pay la khara kiya Allah nay 18
RUKU #12 97 99 102 Tamam farishto or rasoolon pay iman lao Sirf kafir he Allah ke ayaat ka inkar kartay hain is liey apna shumar muslims main krna hai na kay kufaar main Subha, sham ke duain, and ayat ul kursi or muaaz teen parain ta kay har kisam k jado say bach jao Kisi b nabi ya farishtay k sath bughaz nahi rakhna werna Allah sath nahi day ga Kisi be qisam k jado k peechay na jao. Jado aik shaitani amal hai chahay jis b maqsad k liey kiya jaey ya jis b niyat k liey kiya jaey 19
RUKU #13 104 106 107 110 111 Deen walon ke izzat karo or unk liey dil main koi bughz na rakho Allah nay Quran main ba tajreed ahkaam nazil kiey hain is liey us tarteeb pay imaan lao Dost or madadgaar tu sirf Allah he hai is liey usi say mango Namaz qaim karo or zakat do, apni akhrat k liey saman akatha karo Sirk main na paro.allah ke zaat or siffat main kisi ko shareek mat banao Akhrat main jannat ke jhoti umeedain laga kar mat betho 20
RUKU #14 113 Har qism k ikhtilaaf main Quran ko kasoti banao ulama ka apas ka ikhtilaf ummat ko tor deta hai, es liye aapas k ilhtilaf se bacho. 114 115 116 Masjidon main aajizi se dartay huay dakhil ho. Sirf Allah ki muhabbat hi ummat ko jornay ka wahid tareeqa hai Sirf Allah ka farman-berdaar banna hai koi esa kaam na karo jo logon ko masjidon se door kr de Allah swt ki zaat ya siffaat main kisi ko shareek nahi thehrana. 21
118 119 120 121 Allah ki nishaniyon pe ghor o fikr kerna hai Sirf Allah hi se madad mangani hai Quran ka haq ada kernay walay banna hai Es pe eman la kr Deen main mufahamat wali batain shamil nahi kerni Yahood o nasara se mushabihat nahi ikhtiyar kerni. 22
RUKU #15 122 123 124 125 126 Allah ne jo fazeelat di, ab deen phela kr us zimmay daari ko pura karo Apni aulad k liye bhi duniya or akhirat ki bhalayi mango Allah k ghar main ruku,sujjud or aitikaf karo Deen or duniya do mango jo fazeelat pichlay logon ne mehnat se haasil ki,usay sirf daawon se hasil kernay ki koshish na karo sifarish ki umeed pe naik amal kerna na choro. Allah k ghar main bad amni phailanay walay kam na karo 23
RUKU #15 127 128 Bari se bari naiki kernay k baad bhi touba karo. pata nahi haq adaa hua ya nahi. Asal cheez qabooliyat hai, qabliyat nahi. Hamaray ammal main koi aisa amal na ho jo qabooliyat main rukawwat ban jaey naiki kr k itrao mat. Kia pata Allah k han kabol ho kar radd ho jaey 24
RUKU #16 131 132 134 135 Allah k samnay har waqt,har haal main Ibrahim a.s ki tarasar jhukanay k liye tayyar raho Aulad ki aisi tarbiyat karo k wo bhi deen k liye jiyen or musalman hi marain. Har kisi ko es k amal ka hisaab khood dena ho ga. Is liey nabiyon k sath nisbat rakh kr bakhshish ke umeed na rakho Allah k siwa kisi ki ibadat na karo Choti chhoti jamaton main but kar mukhtalif namon ko hidayat ka mayar na banao 25
RUKU #16 136 Tamam nabiyon pay billa tafreeq iman lao 138 140 Allah ka rang behtareen hai,es main rung jana hai. Har shakhs say usk apne amaal k baray main sawal kiya jaey ga is liey purani aqwaam k baray main nahi fikar karo Hamara zahir o batin doosaron se impressed nahi hona chahiaye. 26
RUKU #17 143 Ummat e wast ke zimmay darion ko nibao kion k Allah nay muslims ko umat e wasat bana kr Afzal umat bana diya Rasool ke kissi bat say inkaar na karo kion k rasool wo kehtay hain jo Allah ka hukam hota hai 145 147 Allah or USK rasool ke attayat karo ager shaitan ke pairwi ke tu zalimo main say ho jao gay Allah ke taraf say Nabi par utreney wala hukm sach hai is liey shak karnay walon say na ho jao 27
RUKU #18 150 151 152 Masjid e Haram ki taraf munh kr k namaz paro jahan kahin be ho Kitab or hikmat seekho, is k liey Hadees or Quran ke taleem do zarori hai Allah ko yaad karo, Allah be tumhain yad karay ga Kisi say na daro siwaey Allah k 28
RUKU #19 153 154 156 158 Namaz or sabar say Allah say madad mango Kisi b mubseebat k anay pay dua karo or yad rakho k akhir hamain Allah he ke taraf lout kar jana hai Haj k doran safa or marwa ke sayi krna hai kion k yea Allah ke kadardani ke aik nishani hai Allah k rastay main shaheed honay walon ko murda nahi keho kion k wo zinda hain or hamain us ke khabar nahi 159 Allah ki batton ko mat chupao 29
RUKU #19 160 161 Ager koi gunah ka kaam ho jaey tu foran touba karo or apni islah karo Kufer mat karo werna Allah or farishto ke lanat paray ge 163 Sirf or sirf aik Allah ke ibadat karo 30
RUKU #20 164 165 166 168 Qudratt ki nashaniyon say aqal hasil karo Qiyamat walay din sab asbaab kat jain gay is liey apne amal aisay rakho k bakhshay ja sako Halal or tayyab main say khao Haqooqul ibad k naam par Allah k haqooq kisi or ko nahi do Shaitan k kadmo ke pairwi mat karo 31
RUKU #21 169 171 172 173 Shaitan burrayi or bay hiyayi ka hukam deta hai is liey usk behkaway main anay say bacho Allah k diey hoey rizk main say pakeeza or halal cheezain khao or uska shukar ada karo Abao ajdad ke andhi taqleed mat karo bulkay hamesha har mamlay main Allah k hukam ko samnay rakho na k maashray k Haram say bacho jaisa k murdaar, khoon,sour ka gosht or jis pay gair Allah ka name liya gia ho 32
177 178 RUKU #22 Iman lao Allah par, rozay akhrat par,frishto pay,kitabo pay,maal kharch karain rishtay daro,maskee par,musafron par or qaidiyon par,namaz qaim karo,zakat do Qassas k jo tarikay Islam nay bataey hain un pay amal karo 180 182 Marney say pehley apney rashtey daroon k liey wasihat karo Wasiyat ko is surat main badlo jab gunah ya taraf dari ka andesha ho Wasiyat ko mat badlo werna gunahgaro main shumar ho gay 33
RUKU #23 183 Eeman walo farz ker diya gaya tum per k rozay rakho 184 Agar bemar ho ya safar main ho to ramzan k baad doosre di main rozay rakho or bad main tadaad pori karo 185 ramazan k maheene main mojood ho to poore maheene k rozay rakho or bemar ya safar main ho to baad main rozon ka shumaar poora karo 187 Rozon ki raato main biviyun se mubashrat kerna chaho to ker lo. Jub tum aitkaaf main betho to apni bviyun se mubasharat na karo or Allah ki inn hadood se bahir na niklo 34
RUKU #24 189 190 191 193 195 Naiki ye hai k Perhez gar ba Allah se daro ta k kaamyabi paao Jo loug tumse maidaan e jang main larhne aain un se Allah ki raah main larho Dushman ko maidan e jang main muqaablay k liye saamne paao to qatal ker do Kafiron se uss waqt tak larhte raho jub tak fassaad khatam ho jaye or Allah ka deen ghaalib aa jaye Allah ki raah main kharch karo or naiki karo Ehraam ki haalat main ho or ghar jana perhe to apne gharo ki pusht se na jao. samne k derwazay se aao Dushman se larhai k doraan ziadti na karo Agar kafir fassaad se baaz aa jain to un per ziadri na karo 35
RUKU #24 196 Allah ki khush odi k liye hajj or umra poora karo or agar raastay main kisi mushkil ki waja se rok liye jaao to jo qurbani muyassar aye karo Jub tak qurbani apne muqaam per na puhanch jaye sir na mundaao 36
RUKU #25 197 198 199 200 201 Hajj k liye zaad e rah saath lo or behtreen zaad e rah Taqwa hai Arfaat se wapsi par muzdalifa main ruko or Allah ka zikar karo Irfaat ja kar hajj ka khutba su werna hajj pora nahi ho ga Manisk e hajj ada kartay waqt Allah ko yad karo Dua maango to duniya or akhrat do ki bhalaai b maango or aag se nijaat b Jo shakhs hajj ki niyyat kr le to hajj k di main na shahwat kare, na gaali de or na larhai jagrha kare Duaaon main sirf duniya na maango warna akhrat main koi hissa nahi hoga 37
RUKU #25 208 209 Islam main puray puray dakhil ho jaao. Tumhara dil, aqal, amal, qaul o fail sub islam main aa jaaye Sirf ibadaat ko namaz rozay tak na rakho amal b karo or aadhay islam main adhay bahir jaisi kaifiyyat na ho Roshan nishanio k bad haq ko na jhutlao 38
RUKU #26 211 Allah ki naimaton ki qadar karo, us k ahkaam maa Bani israeel ki tarah na ba jinho ne Allah ki naimaton ki na qadri ki or uss k wazeh ahkaam ko badal daala 212 Ek hadh main reh k dunia ki khubsurati ko apnayein Allah ki marzi k mutabiq rizq kamayen chahay kam hi nafa ho 213 Allah ki taraf se wazeh ahkaam a jane k baad zid or taasub se haq ko jhutlaane waalay na ba 215 Maal kharch karo to darja ba darja ehle istehqaaq ko do Maal ki mohabbat dil se khatam karo 39
RUKU #27 217 218 219 220 221 Allah k deen ko ziada se ziada phailao or hurmat k mahee ka ehtraam karo Allah ki raah main kisi qurbaani se guraiz na karo khaw wo jahaad ho ya hijrat Allah ki raah main apni zaroorat se ziada maal kharch kr do Yateemo ki islah karo or un ko khaane peene or kharch k maamlay main apne saath mila lo wo tumhare bhai hain Nikah karo to momin oraton or mardon se karo chaahay wo koi ghulaam ya londi hon lekin momin hon ehsaan faramosh na ba Sharab or juaa sakht gunnah k kaam hain in k nuqsaan faidon se ziyada hain Yateemon ka maal na haq na khaana 40
RUKU #28 222 223 224 225 226 Haiz k di main apni bviyun se kinara kash raho Tumhari bviyan tumhari kheti hain pus unk paas jis tarah tum chaaho aao Allah ki qasmain agar dil se khao to unko na torho warna Allah k haan pakarh hogi Jo loug apni orto k paas janay se qasam kha lete hain (eela) wo 4 mah tak intezar karain jub tak bviyan paak na ho jaain un k paas na jaao Allah ko apni qasmo k liye dhaal na banaao 41
RUKU #28 228 Mutallaqa aurten 3 mah ki iddat guzaarain agar mutallaqa aurat hamal se hai to wo ye bat na chhupaaye 42
RUKU #29 229 230 231 Allah ki nematon ko yaad rakho or jo kitab or hikmat ussne tum per nazil ki hai uss se naseehat hasil kero Talaq denay k bad haq mehar ya tofay wapis na lo agar shohar apni bv ko 3 talaaqen de day to halaala kiye bagher wo aurat uss per halaal nahi hogi Jub shohar talaaq de day to iddat poori hone per bv ko takleef dene k liye uss se ruju na keray or bv per ziadti na kere 43
RUKU #30 232 233 234 maa apne bachay ko do saal dodh pilaye.doodh pilane wali mutallaqa maaon ka naan nafqa unk shohar yani bachay k baap k zimme hai usski haisiyat k mutabiq Beva aurat apne apko 4 mah 10 din tak rokay rakhay (doosre nikaah se) Jub shohar talaaq de den or unki bviyun ki iddat poori ho jaye to wo aurton ko apne hone wale shohar se nikaah kerne se na roko Mutallaqa Maa/baap ko bachay ki wja akleef na do or maa/baap ko bachay se milne say na roko 235 Iddat k di main aurton se nikah ka qol o iqrar na kero 44
RUKU #31 236 237 Agar biwiyun se mubashrat kerne ya haqq meher muqarrar kerne se pehle unko talaq de do to kuchh kharch de do unko Apas main ehsaan karna mat bholo 238 239 Apni namazo ki hifazat kero. Khaas tor pe dermiyani namaz ke Agar khouf main ho to paidal ya sawaar namaz ada kero. Or jub aman main ho to Allah ko wesay he yaad kero jesay ussne tumhei sikhaya 45
RUKU #31 240 241 In aurton k shohar wafaat pa jain unko aik saal tak kharch do Jo mutaqqeen hen wo apni mutallaqa bv ko dastoor k mutabiq naan nafqa den Jin aurton k shohar wafaat paa jain unko ghar se na nikaalo 46
RUKU #32 243 244 245 246 247 Allah ki rah main larho or jaan rakho Allah sunne wala jannay wala hai Allah ko qarz e hasana do kio k wohy khush haali or tungdasti deta hai Allah k faislo pe raazi hona hai. Wo jaanta hai kisko leadership k liye muntakhib kerna hai Allah he mout or zindgi deta hai to Uss ki na shukri na kero Allah ki raah main ghatiya cheez nahi deni Allah ki rah main laro tu apne zaati maqsad ko beech main na lao 47
RUKU #33 249 250 251 253 agar beech main kuchh saathi sath chhorh jaain to himmat na haaren Allah k nabi or Uski khuli nishaniyan dekhne k baad aapis main ikhtalaaf ker k firqay nahi bnanay dushman ki ziada tadaad dekh ker Allah ki rah main larhne se peeche nahi hatna Allah k nabiyon k munkir na banain werna Allah apni hikmat or badshahat say shikast day sakta hai jaisay Hazrat Dawood k hatho jaloot ko hoi 48
RUKU #34 254 256 257 Allah ke rah main Allah k diey hoey rizq say kharch karo deen e islam main daakhil kerne k liye kisi kaafir pe zaberdasti na kero Taghoot k dost na ba wo tumhei roshni se andhero main le jaye ga 49
RUKU #35 258 tableegh k liye kainaat ki misaalen do ussk baad kitaab ki tableegh kerte hue lambi chorhi behes na kero 259 260 Allah he mout or zingadi denay pay qaadir hai is liey dunia main apnay amaal aisay rakho k akhirat main kamyab ho jao Hazrahim ke misaal say sabbaq hasil karo jab unho nay Allah say mout or zindagi k baray main sawal kiya 50
RUKU #36 261 262 263 264 265 Allah ke raah main soch samjh kar kharch karo Allah ki rah main khulay din or khaloos e niyyat se do Agar kisi ko kuch nahi de sakte to narmi or pyaar se samjha do. Apnay nafson par kaabu rakho or kharch krte hue riyyaakari se bacho Apnay maal sirf Allah ki khushodi k liye kharch karo chahay thorha sa hi karo lekin khaloos e dil se karo Fe sabeel Allah kharch krne K baad na ehsaan jatlao na azziyyat do Ehsan jata kar, takleef de kar or dikhawa kr k apne sadqaat ko zaaya na karo 51
RUKU #37 267 Allah ki raah main dete waqt khud ko receiving end pe rakho k yahi khud ko milay to kaisa lage. Deen k naam pe bacha khucha or buri cheezen na do. sadqa dil ki sachai ka naam hai is liye usay sidq e dil se do 268 Allah tum se apni rehmat or bakhshish ka waada krta hai uss par yaqeen rakho Shaitaan ka kaha na maan'na wo tumhen tangdasti ka khauf dilaata or behayaai ki taraf maiyl krta hai 269 Hikmat se kaam lo or thik jaga thik waqt par thik faisla karo k kahan kharch krne se khair e kaseer milay ga 270 Allah ne zakat farz ki hai us ke farz kiye hue hr hukm ki tameel karo Nazar maan'na na pasandida amal hai is se ijtnaab karo Allah k saath sharten na baandho 52
RUKU #37 271 273 Allah ki rah main zaahir kr k b do or chhupa kr b Allah k deen k taqazon ko pura krne waalon or deen ko ghalib krne waalon par kharch karo Maal kharch kro to kisi ki izzat e nafs ko majrooh na karo Safaid posh or khud daar log jo deen k kaamon main lage hain lekin kisi k aagay hath nahi phailaatay unhen un k huliye or chehron se pehchaa or madad karo 53
RUKU #38 274 Allah ki rah main din ho ya raat, zaahir kr k do ya poshida kharch krte raho Allah pura pura sila de ga 275 Sood mat khao..allah nay tajarat ko halaal kiya hai laikin sood ko haraam karar diya hai is liey is say bacho 278 Allah se daro or jo sood main se baaqi reh gaya wo chhorh do 279 Touba kar lo or sood chhorh do to tum ko apni asal raqam lene ka haq hai Nafarmani kr k Allah or uss k Rasool se jung ka ailaan na karo tum kisi b tarah Allah par ghalib nahi aa sakte 54
RUKU #38 280 281 Qarz lainay wala agar tang dast ho to ussay kashaiysh k hasil hone tak mohlat do Us din se daro jab Allah ki taraf lautaaye jaao ge Be khauf ho kar zindagi mat guzaaro Tumhen apne amaal ka pura pura badla milay ga 55
RUKU #39 282 282 283 283 Qarz ka mamla krne lago to ek dastawaiz likh lo ta k yaad rahe or waqt par pura pura qarz ada kr do Qarz ka maamla likhne lago to gawah kr lia karo. Do mard na hon to ek mard or do oraton ki gawahi lo Agar tum safar main ho or koi qarz ka maamla likhne waala na mil sakay to rehan main kuch rakh lo Agar koi kisi ko ameen samjhe to amanatdaar, sahib e amanat ki amanat ada kr de Qarz ki dastawaiz likhne waala, likhne se inkaar na kare or jab b usse talab kia jaaye wo inkaar na kare Shahadat ko kabhi mat chhupaana jo aisa kare ga wo dil ka gunnahgaar hoga 56
284 285 RUKU #40 Dil se toot kr Allah se sidq e dil se dua maango wo zaror qabool farmaata hai Allah ka hukm sun kr ataa'at ka waadha kro hamain hr zahir or dil main chhupai hui hr baat ka hisaab dena hai is liye kisi b waqt Allah ko na bhoolen. Dheet ban k Uss ki Nafarmaani na karo 286 Koi bhool chok ho jaye to foran touba karo or bakhshish maango. Allah se dua krte rehna chahiye k wo hamein sakht tareen aazmaishon se bachaaye or hum pe reham kare hamain bakhsh de or kaafiron ki qaum par hamein ghalib farmaaye. 57
Duain ز ت ا ت ق ث ل ه ا إ ك أ ت الس و يع الع ل ين ]الثقسج :127[ ز ت ا و اج ع ل ا ه س ل و ي ي ل ك و ه ي ذ ز ي ت ا أ ه ح ه س ل و ح ل ك و أ ز ا ه اس ك ا و ت ة ع ل ي آ الس ح ين ]الثقسج :128[ إ ك أ ت الت و ا ب ز ت ا آت ا ف ي الد ي ا ح س ح و ف ي اآلخ س ج ح س ح و ق ا ع ر اب ال از ]الثقسج :201[ ز ت ا أ ف س غ ع ل ي ا ص ث سا و ث ث ت أ ق د اه ا و ا ص س ا ع ل ى الق و م الك اف س يي ]الثقسج :250[ 58
Duain ز ت ا ال ت ؤ اخ ر ا إ ى س ي ا أ و أ خ ط ؤ ا ]الثقسج :286[ ز ت ا ال ت ؤ اخ ر ا إ ى س ي ا أ و أ خ ط ؤ ا ]الثقسج :286[ ز ت ا و ال ت ح و ل ع ل ي ا إ ص س ا ك و ا ح و ل ت ه ع ل ى ال ر يي ه ي ق ث ل ا ]الثقسج :286[ ز ت ا و ال ت ح و ل ا ه ا ال ط اق ح ل ا ت ه و اع ف ع ا و اغ ف س ل ا و از ح و ا أ ت ه و ال ا ف ا ص س ا ع ل ى ال ق و م ال ك اف س يي ]الثقسج :286[ 59